Woh mere har jhoot se khush hota,
Jise hamesha sach bolne ki aadat thi,
Woh ek aanso bhi girne per khafa hota tha,
Jise tantai mein rone ki aadat thi,
Woh kehta tha ke mujhe bhool jaye ga,
Jise meri har baat yaad rakhne ki aadat thi,
Hamesha maafi mangne ke gar se
Roz galtiyan kerna us ki aadat thi,
Woh jo dil o jaan nichaver kerta tha mujh per,
Magar choti si baat per rothna us ki aadat thi,
Hum us ke saath chal diye yeh jante huwe bhi,
Raah mein har ek ko chor dena us ki aadat thi,
Titliyon ko pakarna us ki aadat thi,
Har ek se larna us ki aadat thi…!!!!!!
By : Tanvi
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Comments 30
HI TANVI UR COLLECTIONS ARE NICE, CAN I GET SOMETHING FROM UR COLLECTION WHICH IS LIKE THIS:
MERI AUR UNKI SIRF ITNI SI KHANI HAI
EK TUTI HUI KASHTI HAI AUR BARISH KA PAANI HAI…….
HI friends ,
are yare sab kaha chalke gaye . no comments here since looooong haa
Hi Heeren
Chalo yaar aur koi nahi likhta
to main hi kuch likh deta hoon
to shaid tab doosron ko khyal aaye.
========================
Hum jal kar bhi roshni phailaate rahe,
Isliye log hume jalaate rahe,
Mere jalne ko kisi ne dekha hi nahi,
Meri roshni pe sab mushkuraate rahe.
=========================
khalid.m@hotmail.co.uk
=========================
Tum bin jiya jaye kaise, kaise jiya jaye tum bin
Sadiyon se lambi hai raten, Sadiyon se lambe hue din
ajao lotkar tum, ye dil keh raha hai
tum bin jiya jaye kaise , kaise jiya jaye tum bin
Fir sahmey tanhai jagi , fir yaad tum aa rahe ho
fir jaan nikalne lagi hai, fir mujhko tadpa rahe ho
Ajao lotkar tum , ye dil keh raha hai
Tum bin jiya jaye kaise , kaise jiya jaye tum
Rahon main yadon ke maile hain
Tum bin bahut hum akele hain
Aajao lotkar tum ye dil keh raha hai.
Tum bin jiya jaye kaise, kaise jiya jaye tum bin
ajao lotkar tum ye dil keh raha hai……….
From
Naresh Tanwar
some gud collection there…
Kisi khush nigah si ankh nay yeh kamal mujh per karam kia
Meri loo ho jaan per raqam kia
Who jo chand sa harf tha
Who jo shaam sa naam tha
Who jo ek phool si baat phirti thi dar badar
Usay gulistan ka pata diya
Mera dil kay shehray malal tha
Usay roshni mai basa diya
Sabhi udaas mausam hain, kabhi to milnay chalay aao.
Dukhon mai hum to gum hain, kabhi to milnay chalay aao.
Tumharay bad kaise raunaqain is dil ki nagri main,
Sabhi charagh madham hain, kabhi to milnay chalay aao.
Tumharay pass to hoon gi zamanay bhar ki khushian,
Humaray pass to ghum hain, kabhi to milnay chalay aao.
Tumhari yaad dil ko both takleef deti hai,
Negahain bhi to purnum hain, kabhi to milnay chalay aao.
Lagay hain zakham kitnay bay baha dil pa mohabbat main,
Tumharay lafz marham hain, kabhi to milnay chalay aao.
Both hum dard hain yun to hamaray bhi zamanay main,
Magar phir bhi both kam hain, kabhi to milnay chalay aao.
Yeh pathar hi na ho jain negahain dekhtay rasta,
Kay khushian bhi to berham hain kabhi to milnay chalay aao
hi tanvi
ur poetry is very nice
i really appriciate u aur RAJ nay jo jokes send kiye hain woh bhi boht achay hain
Very NiCe……..,;./
Jab teri dhun mein jiya kartey they,
Hum bhi chup-chaap phira kartey they