Unki Aankhon Ki Baat Kiya Karni

RelatedPosts

Unki Aankhon Ki Baat Kya Kerni
Unki Aankhon Se Kya Nahi Seekha
Besabab Muskura Dena Kabhi
Phir Kabhi Yun Hee Udas Ho Jana
Khushnuma Sitaroon Sa
Apney Khuwabon Pe Chamaktey Rehna
Ya Kabhi Dil Ki Aarzoo’on Ki Maut Pe
Aik Pal Main Tarap Ke Ro Dena,
Meri Aankhon Ke Motiyon Ko Phir
Apni Aankhon Se Chun Lena….
Besabab Phir Wo Muskura Dena…..
Unki Aankhon Se Kiya Nahi Seekha ….!!!!!!!!

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 3

  1. dhani says:

    maine to bs ek yaar manga tha ek pyaar ke liye to kounsi khudai mangli,!! ek katra chaha tha maine is saagar se tere koun sa samondar manga tha ..!? maine to bs ek khushi ka phool hi to manga tha koun sa saara baag manga tha…? ek jhoka hi to manga tha to kounsi khudai mangli jo tu ittna naraz ho gya..??

  2. Nazish says:

    Har Ghari Tujh Sey Aqeedat Hoti Jati Hai
    Dekhtey He Dekhte Muhabat Hoti Jati Hai
    Aashiq Naam Ka Bharam Rkhna Hai Mujhe
    Yeh Aashqi Meri Fitrat Hoti Jati Hai
    Tujh Bin Main Adhoora Hee Lgta Hon
    Teri Dosti Meri Zrorat Hoti Jaati Hai
    Tujh Sey Chahat Hai Meri Intaha Ki
    Ab Eis Mein Bari Shidat Hoti Jaati Hai
    Woh Jo Tera Naam Lene Sey Roktey Hain Mujhe
    Tere Un Shareekon Sey Nafrat Hoti Jati Hai
    Tujh Bin Bara Udass Rehta Hon Main
    Tujhey Miley Bari Mudat Hoti Jati Hai
    Mere Pass Meri JAAN Ban Ke Chley Aao
    Teri Deed Meri Ibadat Hoti Jati Hai
    Main Sab Kuch Luta Kar Bhi Tujhey Paa Sakon
    Eis Baat Ki Mujhe Hasrat Hoti Jaati Hai
    Tera Naam Likh Likh Aksar Choom Leta Hon Main
    Eis Tarha Mere Zakhmoon Ki Aayadat Hoti Jati Hai
    Meri Zindgi Ban Ke Reh Gaye Ab Tum Hee
    Tujh Bin Har Shaay Sey Baghawat Hoti Jati Hai
    Tumhain KHUDA Sey Maang Kar Mang Liya Sab Kuch
    Dunya Bhar Mein Teri Ab Shuhrat Hoti Jaati Hai
    Tere Alfaaz Ksi Dil Mein Utar Jaain Gey Nazish
    Kitni KHUDA ki Tujh Pey Enaayat Hoti Jati Hai.

  3. Jigar says:

    Husband – Tumse Shaadi Karke Mujhe Ek Bahut
    Bada Faayda Hua Hai.
    Wife – Woh Kya.?
    Husband – Mujhe Mere Gunaaho ki Saza
    Jeete-Jee Hi Mil Gayi.!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *