tujhe kab ka bhula diya

pyar ne ye kaisa tohfa de diya
mujhko gumo ne pathar bana diya
teri yaadon main hi kat gayi ye umar
kehta raha tujhe kab ka bhula diya

7 Comments
  1. Usne kaha ke mujhe bhool ja maine tumhe dil se
    nikal diya hai
    bas
    Sukoon sa mil gaya ye sunkar kar kabhi to us ke
    dil mein the hum?

  2. Hum aapki nafrat ko bhi pyaar samajh lenge kyunki nafrat wahi karte hai jo pyaar karte hai…
    Mante hain ki Tum bewafa hi sahi, par bewafa hoke bhi aap Humse hi pyaar karte hain…

  3. apne pyar ko chupa na sake
    dewane dil pe kabo pa na sake
    aaj itne karib se gujar gye vo
    fir bhi unke hath ham tham na sake

  4. bewafai ka dar nhi tha isliye pyar kiya
    tanhayi ka dar nhi tha isliye ikrar kiya
    mut bhi nhi rok sakti thi ham dono ko milne se
    par hame kya pata tha ke tumne hi milne se inkar kiya

  5. pyar ne ye kaisa tohfa de diya
    mujhko gumo ne pathar bana diya
    teri yaadon main hi kat gayi ye umar
    kehta raha tujhe kab ka bhula diya
    Nisha Hussain

    Leave a reply

    Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
    Logo