Teri Yaadon K Bikhray Tukrray Chun Kar……….
Guzray Maazi Ki Zara Tasweer Mein Bana Loon
Apnai Har Khushi Teray Nam Likh Kar Janaan….
Teray Dukhoon Ko Apni Taqdeer Mein Bana Loon
Kuch To Bol, Hukum Kar, Chairr To Sahi Qissa………
Teray Gham Ki Shayed Kuch Tadbeer Mein Bana Loon
Thehr Ja,Meray Iss Khwab Ko Preshan Nah Kar…….
Aankh Khulnay Se Pehlay Taabeer Mein Bana Loon
Chahti Hoon Pehna Doon Insaniyat K Galay Mein Jo…
Tu Saath Ho Mohabbat Ki Aik Zanjeer Mein Bana Loon..
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Comments 5
Ab Ek meri qalam se nikli hui ghazal bhi bardash kar lijiye. . . Nawazish hogi. . .
chaman me bhul se koi to raazdar mile!
Koi to ho jo apne liye bhi beqarar mile!
Sitamgari to bahot hai jahaan me ae dost!
Kbi to teri nazar me mra khumar mile!
Zamaane walo ne samjha hai bewafa mujhko!
K phul boye the humne! Badal me khar mile
vo ek shakhs jisme chaah thi apni! ! !
Faqat wahi na mila! Log beshumaar mile
vo mera dost b hai aur jafakash bhi hai!
Uske dil me meri khatir kayi hisaar mile!
Mera qatil koi dushman ko samajta tha main
dhundhne nikla to raste me mere yaar mile!
Is bhari bheed mein main tanha hun qamar
k jb mila hai koi! Usko beqarar mile
Yaha kuch dino pehle kuch likh dia tha . . . Heeren tanna ka mujhe reply mila. . . Bahot achha laga . . . Thanks . . .
baat karnii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai terii mehfil kabhii aisii to na thii
le gayaa chhiin ke kaun aaj teraa sabr-o-qarar
be-qaraarii tujhe ai dil kabhii aisii to na thii
chashm-e-qaatil merii dushman thii
hamesha lekin
jaise ab ho ga’ii qaatil kabhi aisi to na thi
HIi
nice one yar
Vo humse dur hote jarahe hai!
Bahut magroor hote jarahe hai!
Badal rahi hai dilo’n ki dunya!
Naye dastoor hote jarahe hai.
Kya sunega koi unke nagme!
Log be-soor hote jarahe hai.
Heeren
“Teray Gham Ki Shayed Kuch Tadbeer Mein Bana Loon”
Bahaut khoob dost.Bahaut achha laga yeh
line padh kar!
=============================================
khalid.m@hotmail.co.uk
=============================================