Pyas wo Dil Kii Bujhane Kabhii Aaya Bhi Nahin

Pyas woh Dil Ki Bujhane Kabhi aya Bhi Nahin
Kaisa Badal Hai Jiska Koi Saya Bhi Nahin
Berukhi Is Se Bari Aur Bhala Kya Hogi
Ek Muddat Se Hamein Us Ne Sataya Bhi Nahin

Roz ata Hai Dar-E-Dil Pe Woh Dastak Dene
aj Tak Hamne Jise Pas Bulaya Bhi Nahin
Sun Liya Kaise Khuda Jane Zamane Bhar Ne
wo Fasana Jo Kabhi Hamne Sunaya Bhi Nahin

RelatedPosts

Tum To Shayar Ho Aur Woh Ik am Sa Shakhs
Us Ne Chaha Bhi Tujhe Aur Jataya Bhi Nahin

author avatar
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe, Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 1

  1. Mayur says:

    i like the most of the poems and of this site this site is one of the friend of my web friend it connects to ur heart

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *