Cheharaa mera thaa nigaahen us kii
Khaamoshii mein bhi vo baaten us kii
mere chehare pe Gazal likhatii gayi
sher kahatii hui aaNkhen us kii
shokh lamhon kaa pataa dene lagiin
tez hoti hu_i saansen us kii
aise mausam bhii guzaare ham ne
subahen jab apani thi shaamen us kii
dhyaan mein us ke ye aalam thaa kabhii
aankh mahataab ki yaaden us kii
faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aandhiyaan meri bahaaren us kii
nind is soch se Tuuti aksar
kis tarah katati hai raaten us kii
duur rah kar bhi sadaa rahati hai
mujh ko thaame hue baahen us kii