Muskara Kar Naza’a Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya,
Un Ke Sadqey, Mujh Pe Khuddari Ko Qurbaan Kardiya.
Youn Bhi Sahil Tak Phohanch Jatey Hein Ahl-e-Etibaar,
Mein Ne Kashti Ko Sapurd Mauj-e-Toofaan Kardiya.
Aur Ab Kya Chahti Hey Mujh Se Dunya Ba’ad Marg,
Mein Ne Raushan Manzar-e-Gor-e-Gharibaan Kardiya
Maut Ab Aajaye, Mein Jam-e-Mohabbat Pi Chuka,
Mein Ne Apne Hashar Tak Jiney Ka Samaan Kardiya
Kayenaat-e-Husn Ka Ek Harba-e-Masoom Tha!,
Woh Tabassum Jis Ne Peda Zauq-e-Esyaan Kardiya
Rakh Diya Zer-e-Zameen Mulzim Bana Kar Maut Ka,
Mujh Ko Naseer Un Ke Jalweรโ Ne Jo Hayraan Kardiya
Comments 1
Hi i’m Jamil Saifi main shayar tu nahin hun, magar main beemar hun.. Soch raha hun kese dosto ko vida kahun.
Chalo dosto mujhe ab vida karo, dosti ka farz akhri salam karke ada karo, mujhe bhool jaana, aansu bakakar mujhe aur na satana, muskurata hua tumhen main dekhna chahta hun, jo hui ho mujhse khata uski maafi chahta hun, aise dard se ab main joojh raha hun, ke bahana maut ka ab main khoz raha, chalo dosto ab mujhe vida karo, baap ka sahara chhoot raha hai, maa ka dulaara rooth raha hai, kitna hasin hai ye nazara hai, shayad kisi farishte ne meri rooh ko pukara hai, chalo dosto ab mujhe vida karo, waqt na apna zaya karo, koi khush hoga mujhe dukh main dekhkar, koi ro raha hai mujhe tadapta dekh kar, koi mere paas betha hai, koi mujhse door rehta hai, wahin se tum mere liye dua karo, chalo dosto ab mujhe vida karo, dukh ye hai ke tu mujhe gale laga na saki, khushi ye hai ke teri duaon main hai wo asar maut mujhe le jaa na saki… I’m still alive thanks.. ๐