Khalid
Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein,
Kyun dil dene ki wajhe hoti hein,
Kyun jazbaaton ko dabana padta hai,
Kyun iss dil ko samjhana padta hai,
Kyun har dil ko yeh mehsoos nahin hota,
Kyun sab ko yeh manzoor nahin hota,
Kyun dil se dil nahin milta,
Kyun pyaar ka phool nahin khilta,
Kyun dil ke naghme dil nahin gaata,
Dil mein kya hai yeh keh nahin paata,
Kya dil dene ki yahi saza hai,
Kya pyaar karne mein yahi mazaa hai ?(mkm)
======================================
khalid.m@hotmail.co.uk
======================================
Comments 7
hikhalid hows u doing??hope everythin is okie wid u…juz wana say i luv ur poetry.. I honestly believe that your poems will touch alot of peoples hearts because it surly touched mine yea YOUR POEM TOUCHED MY HEART…. ! Keep writing….its amazing!!!
its really sweet of u khalid…haan main thik hu..allah ka shukr hain that ur mom is much better now..main har dua mein aapko aur sweet ko yaad rakhti hu dost..aaj kal zaada work k chalte waqt nahi mil paata aane ka…per abse koshish karungi aapko intezaar na karwau…
but khalid really want to say to you that u really understand what love is…i really wish from my heart that allah grant u all the happiness which u want from him..because i truly beleive that a person who has a heart like u should always be happy..
allah hafiz take care of urself and ur mom..meri dua to hamesha saath hain…
salaam khalid,
aapki ammi ab kaise hain…? allah unki hifazat kare…
aur ye aapne jo sawal kiye hain yahi sawal har pyaar karne waala karta hain…bahot accha likha hain aapne…kya pyaar karne mein yahi maza hain…? very good question khalid …
keep writing my wishes are always with you..
Wasalaam Tamanna
You know something? Beleive me or not
when you posted this comment,just a few
minutes earlier,i was thinking about you
wondering how you would be and why you
havn’t visited the site etc.Chalo accha
hua ke tumhari khairiyat ki khabar mil gai.
Haan mom pehle se kuch behtar hain,bas
duaon mein yaad rakhna!
Aur please aainda itna intezaar mat karwana
====================================
khalid.m@hotmail.co.uk
====================================
Shararat na hoti shikayat na hoti..
Naino mein kisi ki nazakat na hoti..
Na hoti bekerari na hote hum tanha..
Jo jahaan mein kambakht mohabbat na hoti..
Na hote yeh sapne yeh khwabon ki duniya..
Kisi ko chahat ki tamanna na hoti..
Na zulfo ki chhaya na phoolo ki khushboo..
Yaadon mein unki yu raatein na kat ti..
Jo na hoti mohabbat yeh ansoo na hote..
Dil bhi na khota aaj tanha na rote..
Majnu si apni yeh halat na hoti..
Jo jahaan me kambakht mohabbat na hoti..
*****************************************
nice
yaar khalid bilkul sahi sawaal hai lekin sabse bada sach yahi hai k yahi pyar hai pyar me jitni khusiya hoti hai utne hi ghum bhi hote hai bas far itna hai kisi ko khusi to kisi ko ghum jyada milte hai