Hindi Love Poems Collection

Mere Toote Hue Dil Ko, Sahara Kon Dega
Meri Toofaan Me Kashti, Kinara Kon Dega

Yeh Kese Mor Pe Laai Ha Mujko Zindigani
Adhoori See Likhi Gyee Ha Kyun Meri Kahani

Ha Ab Kis Raah Pe Chalna Ishara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega

Main Hoon Our Sath Mere Ab Meri Tanhaayan Hain
Meri Taqdeer Se Mujko Mili Ruswayian Hain

Meri Ankhon Ko Khushion Ka Nazara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega

Hum Ne Pyaar Main Paaya To Kyaa Paya
Kabhi Khud Ro Diye Kabhi Tum Ko Rulaya
Halat-e-ghum Main Beh Gaya Jho Aansoon
Who Zindagi Main Phir Kabhi Na Behne Paya

Saza Mujhe Mili Aur Jaza Unhain Bi
Aisa Bhi Kya Insaaf Me Hai Sir Jhukaya
Himmat Nahee Thi Us Main Saath Mere Dene Ki
Ab Tak Na Jaane Vo Kaise Chal Paya

Kisi Ajnabi Ko Mera Likha Suna Raha Tha Woh
Bikhre Hue Khawabon Ke Purzey Udha Raha Tha Woh
Umr Bhar Pista Raha Who Rishtoon Ki Chaki Mein
Baaqi Rahe Rishtoon Se Daaman Churra Raha Tha Woh

Apni Zidd To Woh Puri Na Kar Saka
Ruthey Huway Bachoon Ko Mana Raha Tha Woh
Sehra Me Khile Phool Ko Bachane Ke Liye
Apne Ashkoon Se Uski Pyaas Mita Raha Tha Woh

Uski Yaadoon Ko Kuch Is Tarah Bhula Raha Tha
Apne Haathoon Apna Likha Mita Raha Tha Woh
Sirf Kirdaar Hi To Badle They Usne
Apni Hi Kahani Suna Raha Tha Woh !!!

Hum Apni Deewangi Se Jaane Jaate Hain
Wo Apni Berukhi Se Pehchaane Jaate Hain
Roz Miltey Hai Lekin, Kuchh Kehte Sunte Nahi
Mere Saamne Wo Meri Dhadkan Badhaane Aate Hain

Shab Bhar Intzaar Mein Hum Taare Dekhaa Karte Hai
Sabera Hone Se Pehle Wo Chand Bujhane Aate Hain
Bas Ek Nazar Ke Liye Hum Din Bhar Taraste Hain
Wo Shaam Ko Gamalon Ko Paani Pilaane Aate Hain

Mere Is Haalaat Pe Hansanaa Nahi Musafir Too
Ishq Main Sabke Saame Aise Zamaane Aate Hain

By Ram Kumar Chandak

173 Comments
  1. subah jab neend khuli to ,,
    sapane wali bat yaad,,
    mai ja ke darpane degi,,
    our khil khila kar
    ,muskurai,,,tum milate rahana

  2. subah jab neendh khuli
    to yaad aaya voh chehra
    jise dekthe hi
    mere chehre me aayi muskurahat

  3. do dil jaha milege
    barsaat to ho jaayegee
    pahali hi mulakaat me
    kuchh baat to ban jaayegee
    sataayegee yaad priye ki
    tarpaayegee tanhaiyaa
    chehra dikhaayee degaa
    man bhaayegee parchaaiyaa
    fir bhee milege chhup ke
    manjil najar aayegee
    do dil jaha milege
    barsaat to ho jaayegee
    dil se dil milegaa
    najare kahegee baate
    dharkan badhegee dil ki
    aati rahegee yaade
    teri churiyo ki khan khanahat
    kano ko dhun sunaayegee
    do dil jaha milege
    barsaat to ho jaayegee
    sachche hai dono dil ke
    pakke bane pujari
    too hai meri manjil
    mai hoo teri aataari
    sote huye swapne me
    teri tasvir najar aayegee
    do dil jaha milege
    barsaat to ho jaayegee
    sangharsh khatm hogaa
    ban jaayegee sari baat
    sahmat ki hawa chalegee
    le aaugaa mai barat
    milane ke vakt par too
    aane me sarmaayegee
    do dil jaha milege
    barsaat to ho jaayegee
    milege dono jab
    aayegee subh ghari wah
    baaho ki haar ka
    pahanaayee maalaa jab
    meri teri khushi ke
    fir kaliyaa khil khilaayee
    do dil jaha milege
    barsaat to ho jaayegee

  4. Dil sabse nafrat karane laga
    Jo toot gaya mazdhar me
    Har kali kali hai lagati
    Khusboo nahi hai har me
    Gujare huye pal yaad aate hai
    Aansoo ab jharane ban gaye
    Jitane khwab pala tha dono
    Ek jhatke me dah gaye.
    Yad aati teri hasee wo
    Jo diya tha too uphar me
    Dil sabse nafrat karane laga
    Jo toot gaya mazdhar me
    Kya hamari nahi hai aati
    Kya gayi ho mujhako bhool
    Mai to teri rah takta
    Math lagat dagar ki dhool
    Ek bar aake ha kar jao
    Mere ujare bag me.
    Dil sabse nafrat karane laga
    Jo toot gaya mazdhar me
    Gar koi mazburi hai,to
    Use bata to jaan
    Har bala mai door. Kar doo
    Bacha ke rakhoo maan
    Fir se ham itihas likhege
    Is pyar ke sansaar me

  5. vjmohlvkiul i love my india jmngcukg k,

  6. poem is really nice
    words really explain the feelings

1 7 8 9

    Leave a reply

    Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
    Logo