Jo Kabhi Palko Pe Bitahaya Karte The,
Wohi Aaj Ashko Me Gira Jate Hain
Jo Kabhi Hame Hasaya Karte The
Wohi Aaj Humko Rula Jate Hain
Jo Kabhi Moti Sa Sanjoya Karte The
Humko Wohi Aaj Kanch Ke Dher Me Gira Jate Hain
Jo Kabhi Kharaoch Tak Nahi Ane Dete The
Aaj Wohi Zakhm Gehre De Jate Hain
Jo Rehte Teh Kabhi Dil Ki Gehraiyon Me
Wohi Aaj Tanhaiyo Ke Samundar Me Duba Jate Hain
Jo The Hamare Muskurane Ki Wajah
Aaj Wohi Aansuon Ka Karan Ban Jate Hain
Jo Kabhi Har Pal Hamara Naam Liya Karte The
Aaj Wahi Hamare Astitwa Ko Thukra Jate Hain
Jinhone Ne Sikhaya Tha Humko Jina Is Zamane Me
Aaj Wohi Maut Ki Khai Me Gira Jate Hain
Jinki Ek Jahalak Se Chalti Ti Saansen Hamari
Aaj Wohi Nazro Ko Fer Liye Jate Hain
Wada Tha Jinka Qayamat Tak Saath Nibhana Ka
Wo Har Lamhe Ko Aaj Nakar Jate Hain
Jinki Yaddon Se Saja Tha Hamare Sapno Ka Aashiyan
Aaj Wphi Un Yado Ko Chakna Chur Kar Jate Hain
Jab Itni Dardnaak Hai Ye Mohaabat
To Kyun Log Ab Bhi Pyar Kiye Jate Hain
3 Lofzo Ke Bhram Me Kyu
Log Dil Apno Ka Dukha Jate Hain
Pyaar Me Aisa Dard Dete Hain Khud Ko
Ki Marham Bhi Laga Nahi Pate Hain
Kyun Khud Jo Tadpate Hai,??
Kyun Ruh Ko Jalate Hain??
Jab Itni Dard Naak Hai Ye Mohabat
To Kyun Log Pyaar Kiye Jate Hain…