Aise apni Wife ho
5’4″ jiski height ho,
Jeans jiski tight ho, Chehara jiska bright ho,
Weight mein thodi light Ho, Umar me difference slight ho,
Thodi see wo quiet ho, Aise apni Wife ho.
Sadak per sab kahe kya cute ho,
Bheed me sab kahe side ho, side ho,
India ki paidaish ho,
Saas ki seva jiski khwahish ho Aisi apni Wife ho.
Padosi jab baat kare to haath me knife ho,
Dinner candle light ho, Dono me na kabhi fight ho,
Milne ke baad dil delight ho, Yeh poem padhke sab kahe
“Guru,tum right ho”,
Aise apni Wife ho.
Kaash yeh concept 0.0001 percent bhi right ho
Agar aisi apni wife ho to kya hasin life ho
Har kisi ki yahi farmaish ho Kudrat ki bhi aajmaish ho
Khudah ke software mein bhi bug ki na gunjaish hoo
…aisi apni wife hoo……aisi apni wife hoo… …aisi apni wife hoo…
Jiski samajdaar hai wife
Samjho uski settle hai life
Har kaam hoti hai right
Kaali zindagi bhi ban jaati hai white
Kahin naam hoti nahi hai black
Wo chuwa deti hai smack
Kisi bhi baat mein hota nahi hai not
Garmi ka din bhi lagta nahi hai hot
Itni achchai se wo karti har work
Khane ke samay bhi uthana nahi padega fork
Ghar mein zhagda ka khin hota nahi name
Aapke parivar ke sadyasa jaisi ban jaati hai same
Ghar ko ye achchi tarak karti hai handle
Parivar ke har aadmi ko bana deti hai gentle
Apne saas sasur ki karti hai respect
Har baat ko wo hans kar karti hai react
Aisi hoti hai ek samajdaar wife
Jo bana eti hai ek best life
Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai
Kaagaz ki haveli hai
Kya shart-e-mohabat hai
Kya shart-e-zamana hai
Awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gaana hai
Kashti bhi puraani hai
Toofaan ko bhi aana hai
Samjhe ya na samjhe vo yeh andaaz mohabbat ke
Ek shakhs ko aankhon se ek sher sunaana hai
Bholi si adaa koi fir ishq ki zidd par hai
Fir aag ka dariya hai aur phir doob ke jaana hai….
Woh kahate hai hum se ke
Aapka Message Churaya huwa hota hai..
Woh kahate hai hum se ke
aapka message churaya huwa hota hai..
Yu to net par SMS ka khazana hota hai..
Kuchch to kadar kar lo Zalim(Tum)..
Aakhir selection to Hamara Hota hai…..
Premika:- Tum to bass apne kaam mai lage rehte hoo
meri to koi parwah hi nahi hai tumhe!
premi:- Oyee pyar karne wale kisiki parwah nahi karte……..
Haridwar main BABA ka Mela laga hua hain
Prasad main Kambal bate ja rahe hain.
Kisi our ko mat batana ye sms sirf selected
BHIKARIYOKO bheja ja raha hain.
Agar manzil ko pana hai to himat saath rakhna,
Agar pyar ko pana hai to aitbar saath rakhna,
Agar hamesha muskurana ho to BRUSH AUR PASTE SAATH RAKHNA.
Wo gulab hi kya hai jis me laali na ho
Wo gulshan hi kya hai jis me maali na ho
Wo SASURAL hi kya kai jis me SAALI na ho
Arre yaaro wo program hi kya hai jis me Taali na ho
Ek janaje ko dekhkar ladki muskarai,
baba bola jawan maut par yu hasa nahi karte,
Beti boli baba wada kiya tha jab bhi milenge mauskraywnge
ek ladki thi dewani si mobile lekar ghumti thi
shama ke ghabra ke wo kuch karti rahti thi
jabbhi milti thi mujhse hamesa puchti thi ye on kaise hota hai
santa:itna sara log football ko lath kahe mar rahe hai?
banta:gol karne ke liye.
santa:sasura gol hi to hai aur kitna gol karenge
Ladkiyon ke college me strike thi,
Ladke bhi unke saath the Ladkiyon ne naara lagaya:
HUMARI MAANGE Pichhe se awaaz aayi SINDUR SE BHARO
Gulaab ko bhi Kamal bana deter,
Uski ek ada pe kai gazal bana dete…
Kambhakt marti nahi mujh par ladkiyaan,
Warna LUCKNOW me bhi TAJMAHAL bana dete…
Jabh aankh mein nami si hoti hei,
Dil mein kisiki kami si hoti hei,
Jabh aankh jukh jaaye toe nami sukh jaaye,
Par koi bataaye kaise dil ka dukh jaaye…!
aaj bhi karte hain tera hi intezaar,
aankhen ruki,dhadkan ruki,saansen ruki.
ruk gayi ye zindagi. Phir bhi aas karti hai ye karar,
janmon tak karenge tera hi intezaar
teri yaadon ke sahare duniya me rah lete hai..
teri juddai ka gam chupchap sah lete hai..
samjhaya dilko yeh raaz chupana..
par aansu banke wo sab kah dete hai..
jhooti hansi hansne ki aadat ho gayi hai
zindagi teri yaadon ki ibaadat ho gayi hai
bas saans chal rahi hai is murde mein
ab rooh to tere saath hi rukhsat ho gayi hai
Nazar andaz kaise kare aapko,
Nazro me bithaya hai aapko,
Yaad aane par roye bhi to kaise,
Darte hai kahi Jhuki Palke chubh na jaaye aapko..!!!
GAGAN KE TOOTEY TARO KA HAAL KISNE PUCHA HAI,
JANHA MEIN DEEVANO KA HAAL KIS NE PUCHA HAI ,
SABHI NE PHULO KO CHAHA HAI SULAGTI RAKH PE
DEEVANO KA HAAL KIS NE PUCHA HAI
Ek hi tamanna hai is fakir ke paas,
Meri tasvir lagana apni tasvir ke paas…
Taki dekhe to log kahe,
Dekho Raanjha kaise baitha hai apni Heer ke paas…
Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai,
Kaano me gunjti shahnai si lagti hai…
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai….
Dhoond lo koi tumhe mil hi jayega,
magar hamari tarah pyar tumhe kaun kar payega,
mumkin hai chahat ki nazar se koi dekh le tumhe,
aankhen hamari kahan se payega
Rang wale rang se tasveer badal dete hain,
Nikle hue kamaan se teer badal dete hain…
Tumse mere do aansu na badle gaye,
Badalne wale to taqdeer badal dete hain….
Samundar ki ret pe naam kabhi likhte nahi,
Ret pe likhe naam kabhi tik te nahi.
Aap kehte ho ki tum patthar dil hai,
Par patthar pe likhe naam kabhi mit te nahi….
Comments 19
Jal chuke khwab to wo ag bujhane aye,
ek naye dhang s wo chot lgane aye,
Mom k pul s gujar kr jana tha hume,
or wo shama ban kr mera sath nibhane aye….!!
Sanjay roy
Jal chuke khwab to wo ag bujhane aye,
ek naye dhang s wo chot lgane aye,
Mom k pul s gujar kr jana tha hume,
or wo shama ban kr mera sath nibhane aye….!!!
Har anshuo ki har ek bund se hoti hai betiyan
Gam ko khushi me badal deti betiyan
“Maa” “bap” ki ijjat hoti ha betiyan
Beta to ek hi kul ko roshan karta
Do do kulo ko roshan karti hai betiyan
Har anshuo ki har ek bund se hoti hai betiyan
Mast hai.
Nice.
Ak kambhakt shayar ne arz kiya
ak ladki naa jeena chahhti hai naa marna chahhti hai
wah wah,
ak ladki naa jeena chahhti hai naa marna chahhti hai
ye kyo khudkhushsi karni chahhti hai,
Shayri to dekhne me to achey hai par mere liye best hai ….to be conti……bye
i like these shyari
Tere pyaar mein me deewana ho gaya,
Tere pyaar mein me deewana ho gaya,
Tere pyaar mein me deewana ho gaya…
Mujhhe nahaye huye ek jamaana ho gaya
Unki galiyon mein gaya toh woh phool barsane lage,
Jab unki mummy ne dekha toh gamle bhi saath ane lage..,
these are realy good…………shayaries
muja dil apna de kar aaj mehrbaan ho jao mera dil mai utar kar mari jaan ban jayo mai koon hoo mujha koi nahi janta mari jaan ban kar mari pehchan ban jao
Mila ke nazar,nazar loot lenge,
Ye Bewafa jalwe Jigar loot lenge,
Hasino pe hargiz bharosa na karna,
Khuda kasam..Ghar ke Ghar loot lenge
Itani Chhoti Nahi Dosti Humari,
Kaise Soch Liya Kinara Aa Gaya,
Lo Fir Ho Gayi Aapke Mobile Me Roshani,
QKi 1 Baar Fir SmS Humara Aa Gaya
Kalam Uthaya To Lafz Nahi Milta
Jisko Dhund Rahe Hai Wo Shaks Nahi Milta
Firte Hai Wo JamaneKi TalashMe
Bus Humare Liye Unhe Waqt Nahi Milta
pepsi ko bhi hukka bana dete,
tere liye sare flavour lagwa dete,
khambakt pite nahi ho hukka tum hamare sath,warna tajmahal ko bhi mochas bana dete.
Khuda se humne Ek dua mangi
Dua me Apni maut mangi
Khuda ne kaha Mot to me tumhe dedu
Par usse kya kahu
Jisne Tumhari lambi umra mangi
I really liked all the different shyaris Which r on here, they r excellent
and i do aprrciat the hard work every one do..
All the best
Nisha
“Is kadar hamari chahat ka imtehan na lijiye kyon ho khafa ye bayan to kijye kar dihiye maaf agar ho gai hamdijyesay khata yhoon khamosh reh kar hame saja na “
Khuda se humne Ek dua mangi
Dua me Apni maut mangi
Khuda ne kaha Mot to me tumhe dedu
Par usse kya kahu
Jisne Tumhari lambi umra mangi………