Yaad ata hai bohut woh guzra hoa zamana
Woh School ki life woh bachpan ka yarana
Left rite kehtay hoey hathon ko uthana
woh Iqbal ki dua woh asambli ka taranaa
Woh ghanti bajtay he classes say nikalna
woh lunch mai ja kar cholay chaat kahana
woh gurmiyon ki chUTion mai ghumnay ko jana
woh mastian karna aur mouj manana
woh tapti hoi dhoop mai cricket khailna
woh ratoon ko der tuk jagna
her khuff say azad zindagi guzarna
woh baat baat par Ammi say zid karna
woh ghaltioon pay maasomiat say sorry karna
woh ghusay mai Ammi ka dantna
aur raat mai Abbu say shikayetain karna
woh har shaam ko apnay time par ghar say nikalna
aur mohallay mai cricket khailna
maghrib hotay he ghar ko loutnaa
werna dadi ji say jhaar sunnna
woh dadi ko baat baat par satana
aur dadi ka shafqat say samjhana
woh raat ko homework k waqt bahanay karna
aur class mai miss ka murgha banana
woh subha mai Ammi ka humko UThana
aur hamara Ammi ko kahaniya Sunanaa
Late school pohchnay par Madam ka jhaar pilana
aur kehna Madam ka kal Ammi ko bulana
woh Ammi Abbu ka be ghurz pyar
woh chacha phopho ka dular
woh sharatain woh kahaniyan
lougoon ka jin ko kehna shetaniyan
mour kar dekhta hoo tu sochta hoo k
kiya zamana tha woh jo guzar gaya
woh zamana kitna suhana tha
waqai kia zamana tha waqai kia zamana tha