Badal gai hai ye zindagi ab
sabhi nazarey badal gaye hain
kahin pe moaje’n baadal gai hain
kahin kinarey badal gaye hai
badal gaya hai ab uska lehja
ab uski ankhe’n badal gai hain
wo chand chehra hai ab bhi waisa
mere sitarey badal gaye hain
mila hun tumse to yun laga hai
k jaise donu hi ajnabi hon
kabhi jo mujhko aziz-e-jaan they
wo rishtey saarey badal gaye
is lye bhi mai sir jhuka kar
teri nagri se chal para hun
tha naaz jin par kabhi mujhe bhi
wo sb saharey badal gaye hain