Ke tujh se juda hokar bhi,
Jeene ki aadat si ho gayi.
Tum laut ke aaoge humse milne,
Roz dil ko behlane ki aadat si ho gayi.
Tere waade pe kiya bharosa hamne,
Shab bhar tera intezaar karne ki aadat si ho gayi.
Khushi mein bhi hum kya muskarate ke,
Teri judaai mein rone ki aadat si ho gayi.
Kaafile nikal gaye hamein chhod ke,
Ab to tanha safar ki aadat si ho gayi.
Har mod par mili gham ki parchhaiyaan,
Zindagi se samjhauta karne ki aadat si ho gayi.
Comments 2
ham bi kisi ka hogay bo bhi hamara ho gay,
Payar to ham un say bahout jayada karta ha,,
bo bhi hampa jan data ha……………………….
na hm kisi ke hoker ho sake,,,
na koi hamara hoker ho saka,,,
pyaar to hm unhe hm apni jindgi jyada karte the,,,
na wo hmse kuch kah ske,na hm unse kuch kah sake,,