Yoon na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai
ek bejurm sazaa ho jaise
Mehul
Dil ne ham se jo kaha, ham ne vaisa hi kiya
phir kabhi furasat se sochenge, bura tha ya bhala
zindagi khwaab hai...
Comments 3
Ek saks h jo mera hona nhi chahta,
Aur ye kambakht dil use khona nhi cahta.
I love you Rani gupta
Koi ye naa kahe ki acha likhta hu, koi ye naa kahe ki bura likhta hu ,
Apni jindagi ko sirf lafzo me likhta hu
very nice.i personally feel it is better than all i read here.