Yeh dua hai koi gila nahi….

hean-prinsloo-702745-unsplash

Mera lafz lafz dua dua,

Mery aansuon se dhula hua,

tujhay zindagi k woh sehar miley,

tujhay mohabbaton ka safar miley,

Tujhay dard-o-gham na kabhi choo sakay,

yeh dua hai koi gila nahi

tujhay zindagi main wo sakoon milay,

jo kisi ko kabhi mila nahi !!

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Ye akeley pan ki udasian
Ye firaq lamhe azab se,
Kbi dasht_e_dil pe b aa ruken
Teri chahton k qafilay,
Men hun tujhko jan se aziz tar
Main ye kese man lon hamsafar,
Teri baat lagti hy wehem si Tere lafz lagtey hain khwab se,
Ye jo mera rang roop hy Yun hi besbab nahi dosto,
Mery khushbuon Se hen Silsily meri nisbatein hen Gulab se.
Wohi mo’tabar hy mere liye Wohi hasil_e_dil o jaan hy,
Wo jo baab tm ne chura liya meri zindagi ki kitab sey….

Originally posted 2014-10-10 09:26:44.

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

6 thoughts on “Yeh dua hai koi gila nahi….”

  1. Shahid khan007

    sabiya this is for u…
    Asar dil per karay shikwa,
    shikayat ho to aisi ho.!
    Galay lag kar koi roye,
    Nadamat ho to aisi ho.!

  2. apne to rula diya yar.
    ksm s.

    Log apna bana k chor detey hain,
    Apno se rishta tod k ghairon se jod detey hain,
    Ham toa ik phool na tod saktey,
    Najaney log dil kaisey tod detey hain….

  3. Mere dil ki jarurat aur dhadkan aap ho,
    meri jindagi ki chahat aur jine ka andaj ho,
    kya bataye aapka kis kadar dil p asar hua,
    mere din ka khyal aur raato ka khwab ho.

  4. Dil mein basane ki khud ko iski ijazat dedo,

    Mujhko tum apna banane ki ijazat dedo.

    Tum meri zindagi ki ek haseen lamha ho,

    Phoolon se khud ko sajanay ki ijazat dedo

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Popular Shayari posts

Categories