Yahi Wafaa Ka Silsila Hai To Koi Baat Nahi

Yahi Wafaa Ka Silsila Hai To Koi Baat Nahi

Yahi wafaa ka silsila hai , to koi baat nahi

Ye dard tumne diya hai , to koi baat nahi

Yehi bahut hai ke tum dekhte ho sahil se

Safeena doob raha hai , to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e- dilmain chupa ke tumko

Wo ghar tumne chor diya hai , to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha

Tum hi ne thod diya hai , to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana ( badnaam )

Agar ye tumne kaha hai , to koi baat nahi

Yahi wafaa ka silsila hai , to koi baat nahi

We will be happy to hear your thoughts

      Leave a reply

      Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
      Logo