Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai
Maine kaha Sitaron ka koi Shumaar hai
Usne kaha kon Tumhein hai boht Aziz
Mai ne kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai
Usne kaha konsa Tohfa hai pasand?
Mai ne kaha Wo Shaama jo ab tak Udhaar hai
Usane kaha sath kahan tak Nibhao ge?
Mai ne kaha jitni ye Saanson ki Taar hai
Usne kaha Mujh ko Yaqeen aaye kis tarah?
Mai ne kaha Mera Naam hi Aitbaar hai
Originally posted 2016-05-13 07:48:48.
1 thought on “Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai..”
dear khalid bhai,
Aap ke kalam dil ko choo gaye khalid bhai aap ne jo ik tamna thi jiski or aye mri jindagi ke humsafar bahut achhe lage aisa hi kuch or likhte rahe hume intjaar rahega.