Tum jaan Lete Main Kya Sochta Hoon…

easy

Jo lehron se aage nazar dekh paati toh tum jaan lete main kya sochta hoon,
Wo aawaz tumko bhi jo bhed jaati toh tum jaan lete main kya sochta hoon.
Zid ka tumhare jo parda sarakta toh khidkiyon se aage bhi tum dekh paate,
Aankhon se aadaton ki jo palken hatate toh tum jaan lete main kya sochta hoon.

RelatedPosts


Meri tarah khud par hota zara bharosa toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Rang meri aankhon ka baant-te zara sa toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Nasha aasmaan ka jo choomta tumhe bhi, hasraten tumhari naya janm paatin,
Khud doosre janam mein meri udaan chhoone kuchh door tum bhi saath-saath aate.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Chhoti-chhoti chhitrayi yaadein
Bichhi hui hain lamhon ki lawn par.
Nange pair unpar chalte-chalte
Itni door chale aaye
Ki ab bhool gaye hain –
Joote kahan utaare the.

Aedi komal thi, jab aaye the.
Thodi si naazuk hai abhi bhi.
Aur nazuk hi rahegi
In khatti-meethi yaadon ki shararat
Jab tak inhe gudgudati rahe.

Sach, bhool gaye hain
Ki joote kahan utaare the.
Par lagta hai,
Ab unki zaroorat nahin.”

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


These Are Taken From The Movie Udaan

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 5

  1. vishwbaba says:

    realy true

  2. sandeep.jain says:

    maayus dhadkan ab shayad hame kabhi sunaayi nahi degi kismat shayad ab hame kabhi badhayi nahi degi fikar mat karna hamari ham khush rahe yaa na rahe ye dil ki chot hai kabhi kisi ko dikhaayi nahi degi

  3. sandeep.jain says:

    Na jane kya khata hui mujhse,mere dil se, Sab hans-2 k aaye mujhe rulane me, Main sochata hoon khata kya hui mere is dil se, Koi sath nahi deta mera muskurane me.

  4. sandeep.jain says:

    Wen Im Dead, Ur Tears May Flow, Bt I Wont Know, Cry 4 Me Now, Instead.. Wen Im Dead, …Ull Send Flowers, But I Wont See, Send Dem Now, Instead.. Wen I M Dead, Ull Say Words Of Praise,But I Wont Hear, Praise Me Now, Instead.. Wen I M Dead, U Ll 4get My Faults, But I Wont Know, 4get Dem Now, INSTEAD…!

  5. sandeep.jain says:

    tolu tolu khushi chali gayi jis din gaye tum hamko chhod ke hamse bane saare gehre rishton se naata tod ke ab to jindagi mein sirf mout aana baaki reh gayi hai waise to jindagi kab ki chali gayi hamko chhod ke

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *