Tujhe Rooh Mein Apni Utaar Doon!!!

 

khalid.m@hotmail.co.uk
khalid.m@hotmail.co.uk

 

Khalid

Meri arzoo hai tujhe pyaar doon

Tujhe chahton se nikhaar doon

Kahin aansuon mein dhoob kar

Tujhe har ghari main qaraar doon

Main janoon-e-ishq mein jhoom kar

Tujhe qurbaton ka hissaar doon

Mujhe tujh se kitna pyaar hai

Taaron ka kaise shumaar doon

Meri har taraf  teri hi sauch hai

Kaise main khud ko faraar doon

Aakhir tu phir kahin kho jaye na

Tujhe rooh mein apni utaar doon(mkm) 
 
============================

khalid.m@hotmail.co.uk

============================ 

Originally posted 2017-10-12 02:01:22.

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

26 thoughts on “Tujhe Rooh Mein Apni Utaar Doon!!!”

  1. sab se pahle tarif us khuda ki jisne ye jahan banaya,
    aur uske baad aapki shayri to tarif ke kabil hai hi
    isme koi shak nahi.

  2. helooo khalid bhai aap ki bahut si shayeri net pe parhi hain… kafi dard bhari hai parh ke ankhe nam ho gyai bhai thnx alot for lovely shayeriiiiiiiiissssssssssss…………….. can v be frndz?

  3. Saira Khan

    W/Salaam Saira.Haan main bahaut hi
    khush kismat hoon jise itne saare
    doston ka pyaar mila.Aur un doston
    mein aaj aik aur azafah ho gya hai
    kiyonke tum jo aagai ho.
    Shukriya dost!!
    Aur haan yeh jo tumhari jo request hai
    puri koshish ho gi puri karne ki.
    Waise aik cheez ka jawab do ke dosti,
    ishq,pyaar,mohabbat waghaira hain kya?
    ===================================
    khalid.m@hotmail.co.uk
    ===================================

  4. Assalam alaikum khalid ji…..
    maine aapki shayari pari…..wakeyi me itni umda hai ki kya kahu…..lafz nahi hai bayan karne ko…..kudrat ka tofa hai aap ko mila aur aap ne isse kafi logo ko apna fan bana liya hai….aur unme mai bhi shamil hu…..Please aapse gujarish hai ki aap koi aise shayari likhiye jo ki dosti pe ho…magar sab nahi balki ek yaadgaar aur lagawab ho…jise sun ke har insaan dosti karne ki soche

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Popular Shayari posts

Categories