Tera Rang Aisa Chadh Gayaa Lyrics From Satyamev Jayate

SatyAmeva-Jayte-Aamir-khan

Tera Rang Aisa Chadh Gayaa
Koi Aur Rang Na Chadh Sake
Tera Naam Seeney Pe Likha
Har Koi Aake Padh Sakey

Hai Junoon Hai Junoon Hai
Tere Ishq Ka Ye Junoon Hai
Rag Rag Mein Ishq Tera Daudtaa
Yeh Baawra Sa Khoon Hai
Tune Hi Sikhaya Sachaion Ka Matlab
Tere Paas Aake Jaana Maine Zindagi Ka Maksad
Satyamev, Satyamev, Satyamev Jayate
Sachcha Hai Pyaar Tera, Satyamev Jayate

RelatedPosts

Tere Noor Ke Dastoor Mein
Na Ho Salwatein Na Shikan Rahe
Meri Koshishen Toh Hai Bas Yahee
Rahein Khushbuein Gulshan Rahe
Teri Zulf Suljhaney Chala
Terey Aur Paas Aaney Chala
Jahan Koi Sur Na Ho Besura
Woh Geet Main Ganey Chala

Tera Rang Aisa Chadh Gaya
Tha Nasha Jo Aur Bhi Badh Gaya
Teri Barishon Ka Karam Hai Ye
Main Nikhar Gaya Main Sanwar Gaya

Jaisa Bhi Hoon Apnaa Mujhe
Mujhe Ye Nahin Hain Bolna
Kabil Tere Main Ban Sakoo
Mujhe Dwaar Aisa Kholna
Sanson Ki Is Raftaar Ko
Dhadkan Ke Is Tyohaar Ko
Har Jeet Ko Har Haar Ko
Khud Apney Is Sansaar Ko
Badloonga Main Tere Liye

Mujhe Khud Ko Bhi Hai Tatolna
Kahin Hai Kami To Hai Bolna
Khahin Daag Hain Toh Chhupayen Kyon
Hum Sach Se Nazrein Hatayen Kyon

Khud Ko Badalna Hai Agar
Badlunga Main Tere Liye
Sholon Pe Chalna Hai Agar
Chal Dunga Main Tere Liye
Mere Khoon Ki Har Boond Mein
Sankalp Ho Tere Pyaar Ka
Kaato Mujhe To Tu Bahe
Ho Surkh Rang Har Dhaar Ka

author avatar
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe, Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *