soocha nahi

soocha nahi accha bura dekha suna kuch bhi nahi
manga khuda se raaat din teray siwa kuch bhi nahi

soocha tujhey dekhaa tujhey chaha tujhey pooja tujhey
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi

jis per hamari ankh ne mooti bichaye raat bhar
bheja wohi kaghaz usse hum ne likha kuch bhi nahi

ik shaaam ki dehleez per baithe rahay woh dair tak
ankhoon se keen baatain bohat moun sai kaha kuch bhi nahi

ihsaas ki khushboo kaha awaz kai jugnoo kaha
khamoosh yado kai siwa ghar mien raha kuch bhi nahi

do chaar din ki baat hai dil khaak mien mil jaye ga
jub aag per kaghaz rakha baaqi bacha kuch bhi nahi

By:- Tanha Safar

Originally posted 2017-05-25 15:26:42.

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

5 thoughts on “soocha nahi”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *