Warning: Undefined array key "file" in /home/u380631772/domains/love104.org/public_html/wp-includes/media.php on line 1712
Usne kaha Tumme pehli si baat nahi,
Maine kaha Zindagi me tera sath nahi,
Usne kaha Ab bhi kisi ki aankho me doob jate ho,
Maine kaha Ab kisi ki aankh me wo gehrai nahi,
Usne kaha Kyu itna toot kar chaha mujhe,
Maine kaha Insaan hu, patthar to nahi,
Usne kaha Kya mai bewafa hu,
Maine kaha Mujhe ab wafa ki talash nahi,
Usne kaha Bhool jao mujhe,
Maine kaha Tum haqiqat ho koi khwab nahi