Tumhare sath rahen ki khwaish hai mere dil mein/
Mohabbat dilwar se hoti hai deewaron se nahin/
Bhare baazaaar mein dhoondhti hain tumhe yeh aankhen/
Tanhayee bheerhon mein bhi hoti hai, sirf akele mein nahin/
Khushi ke do pal kaat lene ki hamne tamanna ki hai/
Khushbu phoolon se hoti hai kaanton se nahin/
Na Udaasi, Na mah ke aasre hain hamein kabool
Madhoshi jeene se bhi hoti hai sirf peene se nahin/
Din ki roshni se hi banati raat ki pahchaan hai/
Suraj na ho to chaand ko koi poochhega nahin/
Kuch roz khazaan ka aana to laazmi hai/
Yeh kasoor toofanon ka hi ho koi zaroori to nahin/
Baton baton mein kat jaate hain sab lambe safar/
Karavaan kyon tham gaya- kahin yeh meri dagar to nahin/
Maaf kardena agar kuch ho gayeen galtiyan/
Hum insaan hain akhir koi khudaa to nahin/