Nazaron Se Nazaaron Ke Jaam Peeta Hoon

nazaron se nazaaron ke jaam peeta hoon,
jab aaye mehfil me tera naam,peeta hoon.

har din na peeta yahaan main yaaron,
bas jab-jab dhalti ye shaam,peeta hoon.

RelatedPosts

saans lene ke siwa na koi kaam mujhe,
bas jab-jab hota koi kaam,peeta hoon.

tune jo humare dil se ki hai itni bewafaai,
to khud se uska le-le inteqam,peeta hoon.

lagataar na kabhi peeta hai ghayal,
har do lamha kar aaraam,peeta hoon.

bina tere ab kaise jiyega ye ghayal,
so apni maut ka kar intezaam, peeta hoon

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 4

  1. Shaok-e-Brhnah paa chalta tha aur rstey pathrile they
    ghoste ghoste ghoss gaey akhir kankr jo nokeele they
    sare sperey viranon mein ghoom rhey hain BEEEN liye
    Abadii mein rehne wale saamp bare zehreele they
    tum youoon hee naraz howe ho ,wrna MEKHANEY ka ptaa
    hum nain har us shakhs sey puchha jis ke NAAIN nsheele they

  2. Rakesh Singh says:

    Phulon ki Tareef sab Karte hain,
    Badi Mushkil se Log Kanton pe Gaur Karte hain,
    MALI to Sirf Naam ke hote hain,
    Phulon ki Hifazat to Kante hi Karte hain.

    singh.rakesh2009@indiatimes.com

  3. Vijay says:

    I want this type of shayari

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *