muqaddar chhod de jisko zamaanaa chhod deta hai
khizaa meN har parinda aashiyanaa chhod deta hai
samajh leN lag rahi hai aapki buniyaad meN deemak
padosi jab kabhi nazreN milana chhod deta hai
zamaane bhar ki taqreereN asar mujh par naheeN karteeN
magar ik lafz tiraa ik fasaana chhod deta hai
wo zaalim bewafaa harjaai hai magar fir bhi
nazar milte hi ik manzar suhana chhod deta hai
hazaroN koshisheN kar ke use hum bhooll paae haiN
roz khidki meN koi khat purana chhod deta hai
zamaane bhar ki talwareN jhuki ati haiN kadmoN pe
koee ban kar ke jab gautam gharanaa chod deta hai.
Poet: syed sadaquat hussain rizvi saudaai
Location: lucknow, uttar pradesh, india
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.