Meri Mohabbat Hai Woh, Koi Majboori To Nahin !!!

Khalid

Meri mohabbat hai woh,koi majboori to nahin.

Woh mujhe chahe,ya mil jaye zaroori to nahin.

 

Yeh kuch kam hai ke basa hai meri saanson mein.

Woh saamne ho meri aankhon ke zaroori to nahin.

 

Jaan qurbaan meri,us ki har muskurahat pe.

Chahat ka takaaza hai yahi,aqal-e-khurori to nahin.

 

Ab to nikal ke aankhon se,yaadon mein ja basa woh.

Yahi hai qurbat-e-chahat,koi doori to nahin.

 

Us ke gar ki taraf , uthte hi ruk jaate hain kadam.

Badnaami se us ki darta hoon,koi maazoori to nahin.

 

Kiyon log madhosh hote hain meri mehak se.

Dil ki jalan aur aansouon ka atar hai,mehak-e-kafoori to nahin.

 

Dair karta hoon har kaam mein,kehte hain dost mere.

Kum aqali hai meri koi shaoori to nahin.

 

Kiyon sulgaata hai apne aap ko ae Mian.

Dil bhi tera,jaan bhi teri,koi tandoori to nahin.(mkm)

============================================

khalid.m@hotmail.co.uk

============================================

Originally posted 2012-12-11 18:14:52.

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

28 thoughts on “Meri Mohabbat Hai Woh, Koi Majboori To Nahin !!!”

  1. RATNESH KUMAR

    hum bhi nahi chahate aapse ye duri
    par jaante hai reh jaayegi pyar ki dashtan adhuri
    kabhi dil tod de hum aapka toh samajhna
    zarur koi majburi rahi hogi humari

  2. vinay, from Bihar

    Love ek aisa word h jise ladka samjhe to ladki nhi samajhti,
    ager ladka samjhe to ladki nhi samajhti,
    ager dono samjhe to ‘Duniya’ nhi samajhti

  3. manoj patel chhani kherwada

    aye dosto majburi ko majburi mat samjna kabhi vo apni jindgi ban sakti he per dosto ek batt samjnna kabhi kishi se pyar me sadhi mat karna varna apni jindgi apni majburi ban jati he manoj patel

  4. Ee Doston Mere Marne Ke Bad, Or Mujhe Jlane Se Pehle Bas MEra Dil Nikal Lena. Kahin WO Na Jal Jayee Jo Dil Me Rehti Hai………

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Popular Shayari posts

Categories