koi kisi ka hota hai nahi yahan

Aankhein benoor dil weeran kar gaya
ek shaqsh mujh ko tanha kar gaya

khushyian ly gaya hai woh sari faqat
meray naam ghamon ka jahan kar gaya

chaltay chaltay aachanak mujh se
juda aeisay hua mujhe heraan kar gaya

soochtii hoon es tanha mausam mein
char soo yeh keisa sama kar gaya

koi kisi ka hota hai nahi yahan
jatay jatay yeahi farmaan kar gaya

khatam hona jis ka mumkin nahi aeisa
hijr ka taweel fasila kar gaya

bechanee ka betabi ka dil mein
ek toofan sa barpa kar gaya

bichra tuo mujh ko ehsaas hua
mujh ko mujh se juda kar gaya

chalna jis pay kabhi asaan tha apna
aaj wohi khathan rasta kar gaya

apni bhi kuch mana gaya aakhir woh
meri bhi kuch baat maan kar gaya

meray koocha e weeran se jatay jatay
har rasam e wafa nibha kar gaya

surat aaniay mein deikhoon to sochoon khud
mein kia thi woh mujh ko kia kar gaya….

3 Comments
  1. wo kheny ko tu ha mery magar dill me hai un ke koi or — ya kisy mann lo wo muj bin rah nahi sakty

  2. Kaun kisko dil me jagha deta hai..
    Phed bhi waqt ane par sukhe pattey gira deta hai..
    Waqif hai hum duniya k riwazon se..
    JAB DIL BHAR JAYE TO HAR KOI BHULA DETA HAI..

  3. Har pal mein pyar hai har lamhe me khushi hai, kho do to yaadein hai, jee lo to zindagi hai

    Leave a reply

    Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
    Logo