Khalid
Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
Dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch
Wo kis adaa se mere saamnay se guzraa abhi
Kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch
Waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
Kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch
Wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
Kis tarha usney chudaya hai mujh se haath na pooch
Is tarha pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarha apno se khaai hai mainey maat na pooch
Ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
Kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch(mkm)
================================================
================================================
khalid
Comments 17
Zabardast, bahut badhyan
this is pankaj from delhi.
i like it.
its really heart touchy…
Abhishek
Hi my friend.Thank you so much for your
comments,i really appreciate them.Yes
some of us do feel the pain of our friends,
and i am not surprised if you had tears in your eyes.
Please keep visiting the site,and make
sure you leave a comment.
Thanks once again!!!
=======================================
khalid.m@hotmail.co.uk
=======================================
hiiii i m abhishek…. khalid ji i m big fans of ur shayaris….. u r just fantastic…. when i read it na tears just come in my eyes…. honestly…. u r fantastic….. plz reply khalid ji
Arun Singh
Aray dost pyar bhi karte ho aur usse
kehne se darte bhi ho.Yeh to koi baat
na hui na?Payar karne waale to kabhi
darte nahin.Rab ka naam le kar keh dalo
usse keh tum usse chahte ho,kam az kam
jawab to mil jaye ga na!
Wish you all the best!
==================================
khalid.m@hotmail.co.uk
==================================
Khalid
Kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch Dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch
Wo kis adaa se mere saamnay se guzraa abhi Kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch
Waqat jo badley to insaan badal jaatey hain Kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch
Wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui Kis tarha usney chudaya hai mujh se haath na pooch
Is tarha pal mein mujhay begana kar diya usnay Kis tarha apno se khaai hai mainey maat na pooch
Ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi Kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch(mkm)
hai me arun singh me ek ladaki se pyar karata hun par batane se darata hun kya karu meri kuch samag me nahi aata
Thank you Sweet
Great te tussi ho,jehre meri posts
nu inne pyar de nal parhde ho te
comment karde ho.Sachi tuhade comments
de nal hor hosla mil jaanda hai.Thanks!
===================================
khalid.m@hotmail.co.uk
===================================
Wah Ji Wah Khalid Saab !!! Tussi Great Ho !!!
Sweet Na
Hi Gayatri…..
The message below was for you…..
thanzz for your appreciation…..
*****************************************
Thankzz for your wonderful comment here…..
*****************************************
Hi Gayatri
Thank you for the complement.Please
keep on visiting this site and making
comments!
===============================
khalid.m@hotmail.co.uk
===============================
tum bahot achhi sayri likhte ho.
bahot achhi he
Hi Amarjeet
Bahaut khushi hui ke yeh post tumein
achi lagi.Comment likhne ka shukriya
dost!
Haan dil se jo baat nikalti hai woh
asar to rakhti hai na?
=================================
khalid.m@hotmail.co.uk
=================================
Achi shayari hai Khalid…
Kya kisi ki bahut yaad aa rehi hai…
Padte waqt aisa lagta hai ke dil se hi likhi hai…
*****************************************
Bhoolne wale se koyi keh de zara..
Iss trha yaad aane se kya faida..
Jab mere dil ki duniya basti nahi..
Phir khayalon se aane se kya faida..
Aasra de ke dil tor te hai mera..
Iss trha stane se kya faida..
Mujh pe bijli girao to jaanu sahi..
Aashiane se girane se kya faida..
*****************************************