Kisi ke naam se pahle

Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle
dilon ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

RelatedPosts

yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare naam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 0

  1. Neha says:

    there e was a boy $girl.they love u each other very much .one day d girl died for heaven she said to boy “ek wada tha tera har wade ke piche .tu milega har gali har darwaje k piche, par kyon tu bewafa nikla ek tu hi nahi tha mere janaze k piche ” the boy riplaid in his eyes “ek wada tha mera har wade k piche milunga tuje har gali har darvaje k piche tune hi mud kar nahi dekha ek aur janaza tha tere janaze k piche. for u

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *