Khalid
Kis tarah aur pass aaon main,
Sirf apna tumein banaaon main.
Paas ho kar bhi door hain itne,
Kis nidaa se tumein bulaaon main.
Raat din be qaraar rehta hoon,
Kaash, lamhe ka chain paaon main.
Dhoop hai tez,kahin chaaon nahin,
Abra ko, ab,kahan se laaon main.
Aik lamhe bhoola nahin paata,
Khoob kehto ho,bhool jaaon main(mkm)
==================================
==================================
Comments 5
i enjoyed reading all your shayaris……
Abhi
Kaise ho mere dost?
Mujhe bahaut khushi hui tumhara yeh
comment padh kar.
Thori der ke liye hi sahi lekan chalo
tumhare dard ka durmaan tau bana.
Yaad karne ka bahaut bahaut shukriya
dost.Ooper wala tumein bahaut sari
khushiyan nawaaze!!!
=================================
khalid.m@hotmail.co.uk
=================================
HI Dear Khalid,
“Realy it was so nice …main jitni bar tumhari Gajlo ko padhta hu utni hi atit ke khayalo me kho jata hu aor fir ek ajeeb see ahsas feel karta hu ..fir thori der me sukun mahsus hoti hai aysa lagta hai ki kisi dard se chhutkara mil gaya ho…thanks my dear ..
“Abhi”+971-557376051 from Dubai UAE
Amarjeet
Thank you so much my friend.As allways
never miss reading my posts and making
a comment on it. Much appreciated!!
====================================
khalid.m@hotmail.co.uk
====================================
Hi Khalid,
good one here..
***************************