Kaun Kahata Hai Ke Maut Aayi to Mar Jaunga

Dard Bhare Shayari Hindi

Kaun Kahata Hai Ke Maut Aayi to Mar Jaunga
Main To Darya Hun Samandar Mein Utar Jaunga

Tera Dar Chor Ke Main Aur Kidhar Jaunga
Ghar Mein Ghir Jaunga Sahara Mein Bikhar Jaunga

Tere Pahlu Se Jo Uthunga To Mushkil Ye Hai
Sirf Ik Shakhs Ko Paunga Jidhar Jaunga

Ab Tere Shehar Mein Aunga Musafir Ki Tarah
Saya-e-abr Ki Manind Guzar Jaunga

Tera Paiman-e-wafa Rah Ki Divar Bana
Warna Socha Tha Ke Jab Chahunga Mar Jaun Ga

Charasazon Se Alag Hai Mera Mayar Ke Main
Zakhm Khaunga To Kuch Aur Sanvar Jaun Ga

Ab To Khurshid Ko Dube Hue Sadiyan Guzrin
Ab Use Dhundne Main Ta-ba-sahar Jaunga

Zindagi Shamma Ki Manind Jalata Hun ‘nadeem’
Bujh To Jaunga Magar Subah To Kar Jaunga

-ahmed Nadeem Qasmi

2 Comments
  1. Gam ye nahi jo mile pathar ke log they. Afsos chand unme mere ghar ke log they.
    Unse hi dusmani rahi dosti ke sath,basti may kuch he barabar ke log they.
    Aur apne jafra ka kaise saboot du,har haadse pe kahta hu bahar ke log they

  2. Jab Uski Dhun Mein Raha Karte The
    Hum Bhi Chup Chap Jiya Karte The
    Aakhon Mein Pyas Hua Karti Thi
    Dil Mein Tufaan Utha Karte The

    Log Aate The Gajal Sunne
    Hum Uski Baat Kiya Karte The
    Sach Samajhte The Uske Vado Ko
    Raat Din Ghar Me Raha Karte The

    Kisi Viraane Mein Usse Milkar
    Phool Khila Karte The
    Ghar Deewar Sajaane Ki Khaatir
    Hum Naam Unka Likha Karte The

    Kal Usko Dekhkar Yaad Aaya

    Leave a reply

    Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
    Logo