Hindi Short Shayari Collection

Unki Aankhe Hume Apni Zindagi Lagti Hai
Unki Saanse Hume Apni Bandagi Lagti Hai
Ashiqi Mein Unki Humara Haal Kuch Iss Tarah Hua Hai
Ki Ab Toh Unki Nafrat Bhi Humme Mohabbat Si Lagti Hai

Anjaan Hai, Anjaan Hi Rahne Do
Kisi Ki Yaado Me Pal Pal Yun Hi Marne Do
Kyoun Badnaam Karte Ho Humara Naam Leke
Ab Toh Iss Naam Ko Benaam Hi Rahne Do

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Din Ghoote Ghoote, Shamein Dhuaan Dhuaan Ho Gayi
Aur Raatein, Intezar Ki Tere Dastan Ho Gayi

Kahan Se Dhundhkar Layun Sakoon Dil Ka Apne
Zindagi Jab Dard Ki Ek Dastan Ho Gayi

Bewafa Bankar Kaise Jee Lete Hain Log Hanskar
Is Raj Ko Jaan-ne Mein Hi Hasti Fanna Ho Gayi

Main Kab Tak Bharm Mein Rakhun Khud Ko
Duniya Kehne Lagi Ki Tu To Bewafa Ho Gayi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko Bhul Gaye
Suna Hai Aajkal Vo Humara Naam Tak Bhul Gaye
Kasam Khai Thi Jisne Sath Nibhane Ki Yaaro
Aaj Wo Humari Lash Par Aana Bhul Gaye

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Gharaunde Rait Ke Kabhi Na Banana Yaaro
Dekh Ke Surkh Kamal, Keechad Me Na Jana Yaaro

Mohabaat To Ek Khubsurat Dokha Hai
Bhul Kar K Bhi Ye Dhokha Na Khana Yaaro

Humne To Galti Ye Ki Unse Mohabaat Karke
Ye Galti Tum Na Dohrana Yaaro

Wafa Ka Sila Yoon Bewafayi Se Mila
Kaisa Jakham meine Khaya Hai Yaroo

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Originally posted 2016-08-05 09:02:36.

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

5 thoughts on “Hindi Short Shayari Collection”

  1. Najane kyu rait ki tarah hatho se nikal jate hai log Jinhe hum Zindagi samaj kar kabhi khona nai chahte Enter your email address to subscribe to Hindi Shayari blog and receive notifications of new posts by email.

  2. Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko Bhul Gaye
    Suna Hai Aajkal Vo Humara Naam Tak Bhul Gaye
    Kasam Khai Thi Jisne Sath Nibhane Ki Yaaro
    Aaj Wo Humari Lash Par Aana Bhul Gaye

  3. Din Ghoote Ghoote, Shamein Dhuaan Dhuaan Ho Gayi
    Aur Raatein, Intezar Ki Tere Dastan Ho Gayi

    Kahan Se Dhundhkar Layun Sakoon Dil Ka Apne
    Zindagi Jab Dard Ki Ek Dastan Ho Gayi

    Bewafa Bankar Kaise Jee Lete Hain Log Hanskar
    Is Raj Ko Jaan-ne Mein Hi Hasti Fanna Ho Gayi

    Main Kab Tak Bharm Mein Rakhun Khud Ko
    Duniya Kehne Lagi Ki Tu To Bewafa Ho Gayi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Popular Shayari posts

Categories