Chala main jab bhi ek kadam teri taraf,
Jaane ye faasla kaise aur badh gaya…
main to saath hi chalta raha tere
jaane kaise phir tu aage nikal gaya… !
Tum to mere har khwaabon mein baste the
Tum to har pal meri baahon mein rehte the
kya wajah hai jo ab tum kareeb nahin aate
Ab kyon dard bankar meri aankho se behte ho,
Shaam ho tanhaayi ki, ya phir raat ho siskiyon ki
Har pal haath uthaa kar tujhe hi maanga maine,
Gham ne kar liya hai kaid mujhe is andhere me
Par tum to roshni ke liye mera dil jalaaye baithe ho,
Hontho par tere rahe hum humesha saans ki tarah
Machalte rahe hum tere dil mein jazbaat ki tarah,
ek pal bhi ganwaara nahin hota tumhe dekhe bagair
par jaane tum kis duniya me apna dil lagaye baithe ho,
Use tumhari duniya chhod gaye huye zamaane par
Ek tum ho ke ab bhi aas lagaaye baithe ho…!
Comments 3
bahut achha poetry collection hai, apka blog padhkar baut khushi huyee asha hai ki aage bhi aapke blog me nayee nayee poetry padhne ko milti rahegi shukriya mera bhi ek chhota sa blog hai umeed hai ki aap doston ko pasand aayegi
Realy ..nice
tumahara yea shayre bohut accha laga