Thak gayi hain raah dekhkar par,
Aankhon me chamak abhi baaki hai.
Dhoop se murjhaae hain par,
Phoolo me mahek abhi baaki hai.
Hai vishwas mann me abhi talak,
Meri dua kabhi to rang laaegi,
Phoolo ki mahek bhi mujhse,
Kahati hai ek din vo aaegi….
Jhooth hi sahi lekin fir bhi,
Ek baar mujhe apna kah de.
Le le meri saari khushiyaan,
Aur apne gam mujhko de de.
Bhool ke khud ko uski aankho me,
Jeevan bhar uska hoke rahunga.
Sach ho jaae gar khwaab mera,
To usse bas itna hi kahunga.
Dil ne tumko pooja hai,
Aur aankho ne ikraar kiya hai.
Sach Kahta hu jabse dekha,
Tabse tumko pyaar kiya hai.
Ab to khud bhi bhool gaye hain,
Kabse tumko pyaar kiya hai.
Shayad jabse jeena sikha,
Tabse tumko pyaar kiya hai.
Tum bin suna mann ka mandir,
Tumhare liye kuchh bhi yaar karunga.
Jab tak chalengi meri saanse,
Tab tak tumse pyaar karunga.
Aaag se tapte is sehra me,
Bahaar kabhi to chhaegi.
Kahta hai mann mera mujhse.
Haan ek din vo aaegi,Haan ek din vo aaegi…..
Comments 3
Too good
Mujhe accha laga but madel ke kuch points samjh nhi aaya
He He Shukriya shayad Itna Hi kaafi hai,
Aap ke comments padh kar bahut accha Laga….
starting achchi thi aur ending bhi achchi thi bas middle ka part kya tha wo thoda golmaal lega apke liye yahi kafi hai.