fasle mehro muhabbat ko zar kha gaee
zindagi ko kisi kee nazar kha gaee
….
mujh pay iflas kee teergi mustaqil
merai bachoon ka roshan sahar kha gaee
….
mera ghar hi nahi muflisi ka shikar
oor bhi aisai kitnai hi ghar kha gaee
….
dil kai hathon muhabbat main us nai faraib
laakh chaha na kha e magar kha gaee
….
tab hi aya dua kai asar ka yaqeen
jab bala ko dua asar kha gaee
….
zindagi ka rahai kaisai phir aetibar
zindagi zindagi ko agar kha gaee
Mehul
Dil ne ham se jo kaha, ham ne vaisa hi kiya
phir kabhi furasat se sochenge, bura tha ya bhala
zindagi khwaab hai...
Comments 2
اپنی شاعری دیکھ کرخوشی ہوٸی مگر جب بھی آپ کوٸی شاعری
پوسٹ کریں تو شاعر کا نا ضرور تحریر کریں
Ghani ur Rehman anjum
kammil ke aansuon mein samaye hein dard ke angarey kuchh is kadar.
ki simtati sham ke bhujte chiragon ko hein roshan kiye hue……