Ek rishta jo abhi ban raha tha

Ek rishta jo abhi ban raha tha ,
Tutne laga magar banne se pahle.

Ek sahare se uthate the ham,
Gir gaye magar sambhalne se pahle.

Sikhane lage the aap se muskurana,
Rula diya magar hasne se pahle.

Kadam jo badhen aap ki disha me,
Ruk gaye wahi chalne se pahle.

Magne ke liye kuchh jo jholi phailai,
Khich liya haath kuchh dene se pahle.

Hamne jo jalaye ummido ke chirag,
Bujh gaye magar jalne se pahle.

Kya yahi arth hota hai rishto ka?
Tutana hota hai inhe banne se pahle.

Originally posted 2017-06-19 15:37:31.

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

0 thoughts on “Ek rishta jo abhi ban raha tha”

  1. mohabat wafa ke siwa kuch bhi nahi , duniya me gam ke siwa kuch bhi nahi , apke paas hamare siwa sab kuch hai hamare paas apke siwa kuch bhi nahi .

  2. Lehar ko pyar tha kinare se, par uski shadi ho ga yi sagar se aaj bhi lehar kinare k paas aati hai . par badnaam na ho mohabbat, isliye wo phir laut jaati hai ! kese ho rohit thik to ho na i missu

  3. taqeer ke khel se kabhi nirash nahi hote, jindgi mai kabhi udas nahi hote, hatho ki lakiro pe kabhi yakin mat karna, taqdeer to unki bhi hoti hai jinke haat nahi hote

  4. bolti hai dosti chup rahta hai pyar , hasati hai dosti rulata hai pyar , milati hai dosti juda karta hai pyar, phir bhi na jane kyun dosti chhor log karte hai pyar !

  5. Agar ansu na hote to ankhen itin khubsurat na hoti
    Dard na hota to khushiyo ki kimat na hoti
    Agar mangne se puri ho jati her murade to us khuda ki bhi kisi ko jrurt na hoti
    Ashok I love you main aap se bhut pyar karti hu aap ke beena na rahe skti i miss u jaun

  6. Main nadan thi jo aaj ye khata kar baithi
    teri har khushiyo ko faana kar baithi
    maaf karna ek nadan dost samjh ke mujhe
    kyuke ab meri saase bhi tere liye dua kar baithi
    kyu aayi main teri zindagi me ek dard bankar
    yahi sawal aaj meri ankho ki nami kar baithi
    kya karu ab mujhe samjh nahi aata aisa dard
    main teri zindagi main hamesha ke liye bhaar baithi

  7. sans lene se teri yaad aati hai
    na lene se mari jaan jaati hai
    kese khe du ki shirf sans se jinda hu
    ye sanse bhi to teri yaad ke bad aati hai

  8. insaan muhtaaz nahi hota manzilo ka
    wakt har kisi ko manjil dikha deta hai
    kon marta hai kisi se juda hokar
    wakt har kisi ko jina sikha deta hai

  9. ye wafa ka silsila hai to koi bat nahi
    ye dard agar tumse mila hai to koi bat nahi
    bahut hai itna ki tum dekh rahi ho kinare se
    hum dub rahe to koi bat nahi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Popular Shayari posts

Categories