Ek Paagal ladki thi

Ek Paagal ladki thi

Ek pyaar se bhara dil tha
jiske armaano ko palko par sajaya karti thi
ek masoom si ladki thi.
mohabbat ke khwaab dekha karti thi..

Ek chehra banakar khayalon mein
phir us chehre ko bheed mein dhoonda karti thi.
kaisi paagal ladki thi
ek khayal ko dhunda karti thi..

Aksar banati ret ke mehal saahilon par
phir un mehalon mein ghar apna basaya karti thi.
kaisi naadan ladki thi
saahil ki mitti se ghar banaya karti thi..

Kai baar dekha use phulon se baatein karte
kuch keh kar unke kaano mein
khud hi sharmaaya karti thi..
kaisi ek ladki thi
phulon se bhi sharmaaya karti thi..

Likh kar hatheli par koi naam hamesha
phir us naam ko mitaya karti thi
shayad naasamajh hi thi
dil par likha tha jo,
use haathon se mitaya karti thi

Jaane kahan kho gayi wo
abto aksar aaine mein dhunda karti hun
wo ladki jo aaina dekh
bewajaah muskuraya karti thi..
banakar ajeeb se chehre
sabko hasaya karti thi..
badi ajeeb ladki thi..
har kisi ko sataya karti thi..

Mohabbat ne hi tod diye
uske sab armaan
jinhe wo bade pyaar se
palkon pe sajaya karti thi.
shayad duniya bhi bhul jaye usse
par waqt na bhula payeega
ki ek masoom si ladki thi
khawaabon ke seher mein raha karti thi..!!!!!!!!!!!!

24 Comments
  1. wonderful mindblowing………..

  2. Copied same from above 🙂

  3. very good

1 2

    Leave a reply

    Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
    Logo