dosti shayari and poems

lafz aap do, geeth hum banayenge
manzil aap pao, raasta hum banayenge,
khush ap raho khushiyan hum dilayenge ,
ap bas dost bane raho, dosti hum nibhayenge

2)log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain
itna darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain

main na jugnu hun diya hun na koi tara hun
roshni wale mere nam se jalte kyun hain

nind se mera talluq hi nahin barson se
khwab aake meri chat pe tahalte kyun hain

mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye
aur sab log yahin ake phisalte kyun hain

3)Mohabbat me hum mashoor kya huwe..
har harkat humari deewangi lagnay lagi..
lafz jo niklay haal-e-dil ka bayan karne ,
zamane ko har wo baat shahyari lagnay lagi

4)Aap ki Hasi Kabhi Kam naa Ho
Aapki Aankh kabhi Aasuon se Nam naa Ho.
Mile Zindagi me Har Khushi Aapko.
Bhale uss Khushi me Hum ho naa Ho

5)dosti hum ne khoob nibhayi hai….
dosti aur pyaar me na koi dewaar banayi hai….
log to dosti karte hain chehre dekh kar….
par aap ne to dosti ki ek alag pehchaan di hai

Originally posted 2017-08-04 20:25:18.

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

7 thoughts on “dosti shayari and poems”

  1. Aankhoo me aata hoo yaad bankar
    khaboon me aata hoo sapna bankar
    yaadon me aata hoo yaad bankar
    mere zindagi mei rahana best friend bankar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *