Dekh Lo Khuaab Magar Khuaab ka Charcha Na Karo
Log Jal jayein gey Sooraj ki Tamanna na karo
Waqt Ka kya hai kisi Pal Bhi Badal Sakta Hai
Ho sake tum se tu tum mujh pe bharosa na karo
Kirchiyan Tootay Hoye Aks ki Chubh Jayein gi
Aur kuch Roz Abhi Aiina Dekha na karo
Ajnabi lagney lagey khud tumhain Apna Wajood
Apne din Raat ko itna Bhi Akela na Karo
khuaab Bachhon ke khelonon ki tarah hote hain
khuaab Dekha na karo khuaab dikhaya na karo
Bey-khayalee main kabhi ungliyan Jal jayein gi
Raakh guzre hoye Lamhon ki kureedaa na Karo…
Click here to Send Free SMS
Comments 4
opsssssss sry heeren…….. mujhe laga ye shayri khalid bhai ki hi likhi he…….. heeren aapne ye shayri bahot acchi likhi he……… mujhe bahot pasand aayi……….. very nice……….
hey i m littele bit confuse now…….. ye shayri kisne likhi he??
khalid bhai ne ya fir heeren ne??
hey neha its by me , heeren
hiiiiiiii khalid bhai……………….kaise ho aap??
bahot aacha likha he………. or bahot sacchai he is shayri me……………
thats true ” khuaab Dekha na karo or khuaab dikhaya na karo”
sach me bahot khub likha he…………