Barasti Hui Raat

Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki,
Bari aarzoo thee mulaaqat ki.

Shab-e-hijar tak ye tashweesh hai,
Musaafir ne jaane kahan raat ki.!!

Muqaddar meri chashm pur aab ke,
Barasti huee raat barsaat ki.

Ujaalon ki paryan nahaane lagein,
Naddi gungunayi khayaalat ki.

Main chup tha to chalti hawa ruk gayi,
Zabaan’ sab samajhte hain jazbaat ki.

Kayee saal se kuch khabar hi nahin,
Kahan din guzaara kahan raat ki..!?

Originally posted 2017-11-15 02:38:45.

Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

2 thoughts on “Barasti Hui Raat”

  1. Aek gunah hum bhi karte hai
    uneh apne dil me rakhne ki khtah karte hai
    chhod dete hai duniya ki bheed me
    ye haseen chehre eesi khatah kyo karte hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Popular Shayari posts

Categories