bahot udas hun mein

Hi all,

few days ago i received thi mail . really touching words …

RelatedPosts

Mujhe gale se laga lo, bahot udas hun mein,
Gham e Jahan se chuda lo, bahot udas hun mein,

Yeh intezar ka dukh ab saha nahin jaata,
Mujhe paas bula lo, bahot udas hun mein,

Meri har sans mein, milne ki pyas palti hai,
Sulagh raha hai badan aur ruhh jalti hai,

Bacha sako to bacha lo, bahot udas hun mein,
Bhatak chuka hun bahot zindagi ki rahon mein,

Mujhe aake chupa lo tum apni baahon mein,
Bin tere mar na jaun kahin,
Mera sawal na taalo, bahot udas hun mein.

By mail – Aditya

author avatar
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe, Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 8

  1. anand says:

    are yaar 1-2 aur daansoo shayeri sunao na

  2. santosh says:

    hi
    aapka poem dil ko chu gaya yar

  3. aarti says:

    mast shayri h…….
    i like it…

  4. Naveed says:

    Ver Good Poetry

  5. Sweet says:

    Hey Hiren

    ZABARDAST NA !! bohot acha hai !! Keep on writing na yaar… take care Sweet

  6. neha says:

    excellent………..! poem i like it……..

  7. sonia says:

    wow this is a beautiful shayree, touched my heart.

  8. Ajit says:

    This is Gazal from one Hindi Film
    i had seen it. Nanda & Sunil Dutt were
    acted. and Nanda sing this Gazal on the screen.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *