Aaj Ki Raat Yaadon Kay Kuch Mehmaan Aane Waale Hain
Aaj Udaasi Nay Phir Chera Hai Saaz
Aaj Dard Phir Kuch Sunaiga
Tanhai Nay Baandhay Hain Gunghru
Aaj Waqat Bhi Thahar Jaiga
Chand ! Apni Chandni Idhar Rakh Jaanaa
Aanay Hain Aaj Kuch Bhoolay Huay Say Chayhrey
Ashqo ! Aaj Tum Bhi Ji Bhar Kay Beh Lenaa
Behal Jaayn Aisay Hi Shayad Ahsaason Kay Sfeenain
Naghmon !Aaj Kadam Sambhal Sambhal Kay Rakhna
Aaj Ki Raat Khwaabon Kay Naam Hai
In Lamhon Ka Hai Chalan Aisaa
Ki Aaj Tarpaygi Takhleeq Lefz Dar Lafz
Khaamoshi Ka Zehar Subko Pilaayaa Jaigaa
Aaj Ki Raat Zindgi Pe Bhaari Hai
Aaj Jalaingay Khwaahishon Kay Alaav
Hanstay Hanstay Hoga Aaj Umeedon Ka Qatl
Meri Zindagi Aaj Phir Mayzbaan Bani Hai
Woh Baras Jab Jazbaat Nay Li Thi Pehli Angrai
Us Baras Ki Yaad Aaj Mehmaan Bani Hai
Woh Door Ufaq Pay Uthtay Hain Ghubaar
Mehmaanon Kay Qaafily Pahunchnay Waale Hain
Dard-i-dil Ko Sambhaalun Ab Main
Ai Fazaaon Tum Hawaaon Pay Likh Lena
Behoshion Main Nazm Jo Banaa Loon Ab Main
——————————
Takhleeq-rachna
Comments 5
bahut khoob likha hai…..
Ashqo ! Aaj Tum Bhi Ji Bhar Kay Beh Lenaa
Behal Jaayn Aisay Hi Shayad Ahsaason Kay Sfeenain,
ji ap ne to wo baat sach kar di jo main ab tak soonch ta tha ki yeh sirf dil behlane ke liye kafi hai.
“likho to kuch aaisa likho ke kalam bhi rone me majboor hojaye har lafz me wo dard paida karo ke wo gazal banne pe majboor hojaye”
i know yeh kisi ki churai hui hai i am not a writer but i liked u r thought,…keep it up…
love you sonu
very nice heart touching
vry nice
accha