Aaj Bachche School Ja Rahein Hain

first-day-at-school
Aaj Bachche School Ja Rahein Hain
Haath Mein Paani Ki Botal Hai,
Kandhe Pe Kitabon Ka Bojh Hai
Kal Inhi Mein Se Kuch Pyas Se Maare Jayenge,
Kuch Apne Maa Baap Ko Bojh Samajhne Lagenge,
Kuch Sarhdon Pe Jaake Desh Ke Liye Jaan Denge,
Aur Kuch Sansad Mein Baith Ke Desh Ki Jaan Lenge
Par Aaj Mat Roko Unhe, Aaj Yeh School Ja Rahe Hain
Kuch Ro Rahe Hain Toh Kuch Muskura Rahein Hain,
Kuch Nayi Uniform Pehen Ke Itra Rahein Hain,
Kal Inme Se Kuch Aarakshan Ki Maar Kha Ke Royenge,
Kuch Khilkhilayenge,
Kuch Police Ki Vardi Pehen Ke Lootenge,
Aur Muskurayenge,
Inme Se Kuch Garibon Ko Khana Khilayenge,
Wahi Kuch Toh Jaanwaron Ka Khana Bhi Kha Jayenge
Par Aaj Waqt Nahi Hai In Baaton Ke Liye,
Aaj Bachche School Ja Rahe Hain

Dekho Kitne Pyare Hai, Hans Khel Rahen Hain,
Athkeliyan Kar Rahe Hain, Ched Rahe Hain,
Kal Inme Se Kuch Mohalle Ki Ladkiyon Ko Chedenge,
Kuch Chalti Gaadi Mein Kisi Ki Izzat Le Lenge,
Kuch Vakil Banke Kisi Ko Insaaf Dilayenge,
Toh Kuch Gande Sawalon Se Sach Ko Jhutlayenge,
Par Aaj Kuch Mat Kaho Inhe, Aaj Bachche School Ja Rahein Hain
Yeh Toh Koi Jaat Paat Nahi Jante, Mil Baat Ke Khana Khate Hain
Aur Apne Janamdin Par Sabko Chocolate Bhi Khilate Hain
Inme Se Kuch Hi Kal Insaan Banenge,
Par Kuch Kattar Hindu, Kuch Jehadi Musalmaan Banenge,
Kuch Sarhadon Ke Bheetar Sarhadein Jodenge,
Kuch Mandir Banane Ke Liye Masjidein Todenge,
Ab Rehndo Bhi Do Yeh Kadvi Baatein,
Aaj Bachche School Ja Rahein Hain

RelatedPosts

Kitni Mehnat Karte Hai Yeh,
Padhai Bhi Koi Mamuli Cheez Nahi,
Padh Likh Ke Kal Yeh Khub Mehnat Karenge, Naam Kamayenge,
Wahi Kuch Nakli Note Chhapenge,
Farzi Stamp Paper Banayenge,
Kuch Companiyan Daalenge,
Naukriyan Badhayenge,
Aur Kuch Desh Ka Kha Ke Videsh Chale Jayenge,
Kuch Sarkari Afsar Banenge,
Mantri Banenge,
Kuch Engineer Doctor Banenge,
Kya Kuch Nahi Kar Jayenge,
Kuch Lutere Banenge, Hatyare Banenge,
Par Kuch Toh Bachpan Mein Hi Mar Jayenge,
Par Kal Ki Aaj Kya Sochna,
Aaj Toh Bachche School Ja Rahe Hain

Yeh Duniya Hai Hum Logon Se,
Kya Kya Nahi Karati Hai,
Kitabein Kuch Nahi Sikhati Humko,
Duniya Sab Kuch Sikhati Hai,
Yeh Bachpan Hi Nahi Raha,
Toh Kya Yaad Karke Muskurayenge,
Jo Bade Hi Nahi Samajhte,
Naadaano Ko Kya Samjhayenge,
Abhi Toh ˜Padhai Ka Waqt Hai, Padhne Do,
Aaj Bachche School Ja Rahe Hain

By @ Shantanuadhicary Aaj Bachche School Ja Rahein Hain

author avatar
Mehul
Dil ne ham se jo kaha, ham ne vaisa hi kiya phir kabhi furasat se sochenge, bura tha ya bhala zindagi khwaab hai...
Facebook
Twitter
LinkedIn
Pinterest

Comments 2

  1. vaishali gupta says:

    wha!wha!wha! kya sayre hi

  2. raaz says:

    teri ek hi aada kafi hain,dil ko jalane ke liye.
    teri ek hi aada kafi hain,dil ko jalane ke liye.
    bar bar {sms}q karu ,mera balance katm karne ke liye.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *