Youn Tanha Jeene Ki Mujhe Aadat Si Ho Gayi Hai
Anjaan Raahoo Pe Chalne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Wo Meri Mohabbat Se Rahein Be-khabar Taa Qayamat
Mujhe Yeh Dua Maangne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Kab Tak Jhutlaoge Un Se Mohabbat Apni
Tumhari Ankhon Ko Such Bolne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Na Jane Kiyo Shaam Dhalte Hi Yeh Aankhein Bheegh Jaati Hain
Muje Iss Chehre Ko Ashqo Mein Chupane Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Aasmaa Mein Chamakta Har Sitara Yeh Gawaahi Day Ga
Mujhe Tumhari Yaadon Mein Neendein Gawane Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Iss Dunia Mein Shayad Meri Mohabbat Ko Koi Na Samaj Sake
Logo Ko Mujhe Nasamajh Kehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Mehfil Mein Har Shakhs Yeh Gila Karta Hai Saahil
Mujhe Tanhayoun Mein Doobne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai
Heeren Tanna
Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe, Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.