Close bar
  • Connect with us

Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya

Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya
Khaak main meri hasthi mila kar gaya

Pyaas jiski sada mai bhujatha raha
Zahere-katil mujhe wo pila kar gaya

Naaz uski wafa per mujhe tha magar
Teer woh bhi jigar per chala kar gaya

Doondta tha kabhi jo mujhe her gali
Aankh wo aaj mujhse bacha kar gaya

Mangta tha sahara jo herdam mujhe
Besahara mujhe wo bana kar gaya

Neend aagosh main jiski aane lagi
Maut ki neend mujh ko sula kar gaya

Aarzoo thi "Yaaro" kisii ki mujhe,
Kwaab mere wahi to mita kar gaya


—————————–—————————–—————————–

About the Author

Apny Taarof K Liye Bas Itna Hi Kafi Hai.. Hum Wo Rasta He Badal Lay Tay Hai Jo Aam Ho Jaye | http://www.facebook.com/heerentanna You can contact via email here or online here.

Post a Comment

1 Comment(s)

  1. On Oct 6, 2009 at 12:41:39, sanjay said:

    its realy realy gud…maza aa gaya, dil par bhi nasha cha gaya, in gamo ka samundar bahut gahra hai yaaro….