Hum Aapko In Aankhon Mein Yun Basaa Liya Karte Hain !!!
By khalid on Dec 2, 2008 in Hindi & Urdu ghazals, Hindi SMS & Shayri, Hindi Shayari, Love Shayari, Punjabi SMS, Punjabi Shayari, Romantic Shayari, SMS Shayari, Sad Shayari | comments(3)
Khalid
Yeh post Imroz ke naam,umeed hai ke pasand
aaye gi.
——————————————
Khalid
Hum aapko in aankhon mein yun basaa liya karte hain,
Ja sake jahan tak hamari yeh nazar,aap ko har jagah paa liya karte hain.
Aap ki yaadon ki mehak se din guzaar liya karte hain,
Na mil sakain aapse kabhi to,aapki tasveer ko seene se lagaa liya karte hain.
Hum na jaante the ke pyaar mein itni tadap hoti hai,
Aap ki yaad mein kabhi tanhai mein,aansu baha liya karte hain.
Deewangi ki had na poochho humse,kalam haath se jab thamte hain kuchh kaam se,
Bas aapka naam likh likh ke,dil behlaa liya karte hain.
Ab laut bhi aao tum hamaari khatir,
Ke aapki aas mein hi har shaam guzaar liya karte hain.
Mayusi jab chaa jati hai chehre pe,
Yaad karke aapko, hum yun hi muskuraa liya karte hain.(mkm)
=============================================
=============================================
.
If you enjoyed this post, make sure you subscribe to my RSS feed!

