Kaash wo Zindagi Mein Aaye na hote..
Raat ki tanhai me unko awaaz diya karte hai
Raat me sitaron se unka zikre kiyakarte hai,
Woh ayen ya na ayen humare khwabon me,
Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aap Gairon ki baat karte hain,
humne Apno ko Aajmaya hai!
log Katoan se bachkar chalte hain,
humne Fooloan se Jakhm khaya hai!!
hai….
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yaad aane wale yaad aae ja rahe
hain,Mere khyalon ki duniya par chae
jaa rahe hain.Hum kuch keh rahe hai
par wo chup hai,Bas mera msg padh
kar muskurae ja rahe hai..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
In aakhon mein aasu aaye na hote..
Wo jo mud mudkar yu muskuray na hote..
Unke jane ke baad ye Gam hota hai…
Kaash wo Zindagi Mein Aaye na hote..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Nazar ne nazar se mulaqat kar li, rah
dono khamosh par baat karli…
Mohabbat ki fiza ko jab khush paya, in
aankhon ne roh roh ke barsaat kar li
Read More
Kabhi Aankhon Se Kabhi Dil Se Lagaa loon Tum Ko!!!
Khalid
Giraon palkein aur sab se chhupa loon tum ko
Apni Aankhon mein is tarah se chhupa loon tum ko
Tu paaglon ki tarah khud ko mujh se maange
Kuchh is tarah se tum hi se chura loon tum ko
Tu ibadat ki tarah hai muqaddas mere liye
Kabhi aankhon se kabhi dil se lagaa loon tum ko(mkm)
=============================================
=============================================
Author unknown
Hindi SMS Shayari
Aasoon se bhari, Ankhon ko chupata kaha,
Aakhir apna pyar joh khoya dil tuta… Dhal
gaya rishto ki shyam… Uss raat mere
mukkudar pe… Asma bhi roya…
Aye Musafir hum bhi chale thae kabhi un raho par,
sajae thae humne bhi ankho ke saajh par kuch sapne.
Lut gaye hum unhi se joh thaey kabhi mere apne…
Aap ki badd-dua bhi dua bann k lagi, aapke
har gham ne bhi sukoon diya, hum zinda
hai toh yeh jaankar k pyarse na sahi par,
aapne hume yaad toh kiya…
Hamdam k liye ham dam se gaye,
hamdam ki kasam na mila. Mar ham bhi
gaye marham liye zakhmon ki kasam
marham na mila…
Aaj arse baad jab suni uski awaaz, toh laga
ki mere bahut pass hai woh. Ho gayi nam
yeh aankhen jab hosh aaya, aur paya ki
kabhi naa puri hone wali aas hai woh.
Bina dard k ansu bahaye nahi jate, Bina
pyar k rishte nibhaye nahi jate, Ae dost ek
baat yaad rakhna bina DIL diye, DIL paye
nahi jate…
zaraa palat kar to dekh lete, hum wahi
khade the, pal do pal to aap muskura lete,
to un palo mein hum apni sari zindagi jee
lete
Yun toh bahut tha baatane ko, zamaane
se chup ke chaha tha apne chahne wale
ko, kya khabar thi yun tanha chod deega
woh, acha hua ki mere dukh ki khabar bhi
na mil paaye zamaane ko. …….
Zindagi gar phool, toh tum khushbu ho…
Zindagi gar khwaab, toh tum aarzoo ho…
Zindagi gar jeena, toh tum meri zaroorat ho…
Gar Mar jaana, toh haaton mei tera haath ho…!!!
samunder ko kya dukh hai bataa bhi nahin
sakta, aankhn mai aansuu laa bhi nahin
sakta, tu saath chhodkar jaa rahi hai mera
kasoor nahin tera, har shaksh mera saath
nibha bhi nahin saktaa…….
khuda se karne ek faryad baki hai, Humne
unse kahni kuch baat baaki hai, maut
aayegi to kahenge, RUK meri jaan se abhi
mulakat baaki hai.
Yaad mein teri aanhe bharta hai koi, har
saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai, lekin teri
judaai mein har roz marta hai koi….!
Tumhari dosti, tumhari har wafa hi kafi hai,
tamam umar yeh asra hi kafi hai. Jahan
kahi bhi milo mil ke muskara dena,
khushiyo ke liye yeh hasi hi kafi hai…
WO din din nahi,woh raat raat nahi,
wo pal pal nahi,jis pal teri baat nahi,
ki teri yadon se maut hame alag kar sake,
maut ki bhi ye aukat nahi.
Moom aur patthar ka pighalna aasan hai,
Unke bedard dilo ko pighalo toh baat hai.
Jite hue na poocha Shahjahan ne mumtaz
ko, Marne ke khada kiya mahal toh yeh kya
kamal hai……… .
Nazar ne nazar se mulaqat kar li, rah
dono khamosh par baat karli… Mohabbat
ki fiza ko jab khush paya, in aankhon ne
roh roh ke barsaat kar li…….. ..
Jab hum ne unse pooncha, Sapnna kya
hota hain to unhone kaha, Bandh aankhon
mein jo apna hota hain khuli aankhon mein
wohi sapna hota hain.
subah ko yaad aayi to miss kiya,dopar ko
yaad aayi to bahut miss kiya,shaam ko
yaad aayi to heart ne skip kiya ,aur jab
jaan pe ban aayi to sms kiya.
Usko bhi mujhse pyar to hai….

Us ko mera halka sa ehsaas to hai
be-dard sahi woh meri humraaz to hai,
woh aaye na aaye mere paas lekin,
shiddat se mujhe uska intezar to hai,
abhi nahi to kya hua mil hi jaayegi kabhi,
mere dil mein usse milan ki aas to hai,
pyaar ki gawahi mere aansuon se na maang
barasti nahi aankhien magar dil udaas to hai………!!!!!!!!!!
Apna Bhi Nahi Lagta…

Aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta..
Lakin wo tera wada jhota bhi nahi lagta..
Milta hai sakoon dil ko us yaar ke koche mai..
Har roz magar jana acha nahi lagta..
Dekha hai tujhe jab se bechain bohut hai dil..
Kehne ko koi tujh se rishta bhi nahi lagta
Kiya faisla karon us ke bare mai ab..
Wo ghair nahi lakin Apna Bhi Nahi Lagta..!!







