Baarish Kaa Mausam Achcha Lagta Hai

raining

Is barish mein mujhe tera pyar bhi
Kachchi mitti ki maanind laga
Ke jaise chand lamhon ki inayaton ke baad
Zameen ko sara saal pyasa rehna hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Barishon ka mausam hai
Rooh ki fizaaon mein
Ghamzada hawaaein hain
Be-sabab udaasi hai
Is ajeeb mausam mein
Be-qarar raaton ki
Be-shumaar baatein hain
Un-ginat fasane hain
Jo bohat khamoshi se
Dil pe sehte phirte hain
Aur ba-amer-e-majboori
Sab se kehte phirte hain
Aaj mausam achcha hai
Aaj hum bohat khush hain.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

mujhe baarish kaa mausam aur baadal
achcha lagta hai
uski haseen aankhon mein phela kaajal
achcha lagta hai

ajab ek sirkhushi aane se uske
mujh ko milti hai
voh choori ki khanak aur paaoon mein uske voh paayel
achcha lagta hai

churaana haath mujh se
aur jaana ghair ki jaanib
haseen saajan mer dil ker ke ghayel
achcha lagta hai

meri yeh sab kahani be asar
aur be samar si hai
voh meri chah hai aur bas mein saayel
achcha lagta hai

mushi yeh zindagi meri
sanwar jaaye nikhar jaaye
agar voh meri jaanib ko maayel
achcha lagta hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai,
Barish ke har qatre se awaz tumhari aati hai.

Badal jab garajte hain, dil ki dharkan badh jati hai,
Dil ki har ek dharkan se awaz tumhari aati hai.

Jab tez hawayein chalti hai to jaan hamari jati hai,
Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

1 Comment
  1. tum meri jaan ho dear aur tumahri yaad harwaqt aati kya karu tumse pyaar karta hoon.

    Leave a reply

    Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
    Logo