Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon

Best Sad Shayari In Hindi

Use Main Bhul Jana Chahta Hu
Suno Main Muskurana Chahta Hu
Dukhi Rehne Ki Aadat Ho Gai He
Mager Ab Gungunana chahta Hu
Puraney Sab Taluq Tod Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hu
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Unse Jaan Churana Chahta Hu
Woh Sab Tohfey Woh sukhey Phul Sare
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hu
Main Utna Pass Aata Hu Tumharey
Main Jitna Dur Jana Chahta Hu
Maery Hamdam, Haqiqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hu
Ubhrne Ki Koi Khwahish Nahi Hai
K Ab Main Dub Jana Chahta Hu

4 Comments
  1. Wow nice sayari…gzb h

  2. i like it so good and super

  3. yun har lamhaa pal pal kya marna
    Har khushi bhulakar kya karna
    Jo tha hi nahi lakeeron me
    uss shakhs Ko yaad kar kya kana
    Jo mera h mera hi rahega
    dusro ko bta kar kya karna
    Ye ansoo nigahon k moti hain
    Yun inko bahakar kya karna
    Gham ki duniya me kami nahi
    Fir dil ko jalakar kya karna
    Ye jism pal do pal ka saathi hu
    Fir isko sajaa kar kya karna
    Ye dil b bada bagairat h
    Fir isko samjhakar kya karna
    Jo tha hi ni inn lakeeron me
    Fir yun aansu baha kar kya karna…

    Leave a reply

    Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
    Logo